 |
|
| World's
First Roman Urdu Translation Quran Shareef |
| |
| Surat-Momin
40 |
| (Sura-Momin Makka mai Nazil
hui, is mai pichasi (85) Aayatain hain) |
| |
40.01 Haa-meem
40.02 Iss kitab ka nazil farmana uss Allah
ki taraf say hai jo ghalib aur dana hai.
40.03 Gunah ka bakhsney wala aur toba ka qabool
farmaney wala sakht azab wala inam-o-qudrat wala jiss kay siwa
koi mabood nahi. Ussi ki taraf wapis lotna hai.
40.04 Allah Taalaa ki aayaton mein wohi log
jhagartay hain jo kafir hain pus inn logon ka shehron mein chalna
phirna aap ko dhokay mein na daal day.
40.05 Qom-e-nooh ney aur unn kay baad kay girohon
ney bhi jhutlaya tha. Aur her ummat ney apnay rasool ko giriftar
kerleney ka iradah kiya aur baatil kay zariyey kaj behasiyan
kien takay unn say haq ko bigar den pus mein ney unn ko pakar
liya so meri taraf say kaisi saza hui.
40.06 Aur issi tarah aap kay rab ka hukum kafiron
per sabit hogaya kay woh dozakhi hain.
40.07 Arash kay uthaney walay aur uss kay aas
pass kay (farishtay) apnay rab ki tasbeeh hamd kay sath sath
kertay hain aur uss per emaan rakhtay hain aur emaan walon kay
liye istaghfaar kertay hain kehtay hain kay aey humaray perwerdigar!
Tu ney her cheez ko apni bakhsish aur ilm say gher rakha hai
pus tu enhen bakhash day jo toba keren aur teri raah ki perwi
keren aur tu enhen dozakh kay azab say bhi bacha lay.
40.08 Aey humaray rab! Tu enhen hameshgi wali
jannaton mein ley ja jin kay tu ney inn say wada kiya hai aur
inn kay baap dadon aur biwiyon aur aulad mein say (bhi) inn
(sab) ko jo nek amal hain. Yaqeenan tu to ghalib-o-ba-hikmat
hai.
40.09 Enhen burayion say bhi mehfooz rakh hq
to yeh hai kay uss din tu ney jissay burayion say bacha liya
uss per tu ney rehmat kerdi aur boht bari kaamyabi to yehi hai.
40.10 Be-shak jin logon ney kufur kiya unhen
yeh awaz di jayegi kay yaqeenan Allah ka tum per gussa hona
uss say boht ziyadah hai jo tum gussa hotay thay apnay ji say
jab tum emaan ki taraf bulaye jatay thay phir kufur kerney lagtay
thay.
40.11 Woh kahengay aey humaray perwerdigar!
Tu ney humen doobara maara aur doobara hi jilaya abb hum apnay
gunahon kay iqrari hain to kiya abb koi raah nikalney ki bhi
hai?
40.12 Yeh (azab) tumhen iss liye hai kay jabb
sirf akelay Allah ka ziker kiya jata to tum inkar ker jatay
thay aur agar iss kay sath kissi ko shareek kiya jata tha to
tum maan letay thay pus abb faisal Allah buland-o-buzurg hi
ka hai.
40.13 Wohi hai jo tumhen apni nishaniyan dikhalata
hai aur tumharay liye aasman say rozi utarta hai naseehat to
sirf wohi hasil kertay hain jo (Allah ki taraf rujoo kertay
hain.
40.14 Tum Allah ko pukartay raho uss kay liye
deen ko khalis ker key go kafir bura manen.
40.15 Buland darjon wala arash ka malik woh
apnay bandon mein say jiss per chahata hai wahee nazil kerta
farmata hai takay woh mulaqat kay din say daraye.
40.16 Jiss din sab log zahir hojayen gay unn
ki koi cheez Allah say pocheedah na rahey gi. Aaj kiss ki baadshahi
hai? Faqat Allah wahid-o-qahar ki.
40.17 Aaj her nafas ko uss ki kamaee ka badla
diya jayega. Aaj (kissi qisam ka) zulm nahi yaqeenan Allah Taalaa
boht jald hisab kerney wala hai.
40.18 Aur enhen boht hi qareeb anay wali (qayamat
say) aagah kerdijiye jab kay dil halaq tak phonch jayen gay
aur sab khamosh hongay zalimon ka na koi dili dost hoga na sifarshi
kay jiss ki baat mani jaye gi.
40.19 Woh aankhon ki khayanat ko aur seenon
ki posheedah baaton ko (khoob) janta hai.
40.20 Aur Allah Taalaa theek theek failsa ker
dey ga uss kay siwa jihen yeh log pukartay hain woh kissi cheez
ka bhi faisla nahi ker saktay be-shak Allah Taalaa khoob sunta
khoob dekhta hai.
40.21 Kiya yeh log zamin mein chalay phiray
nahi kay dekhtay kay jo log inn say pehlay thay unn ka nateeja
kaisa kuch hua? Woh ab-aitbaar qooat-o-taqat kay aur ba-aitbaar
zamin mein apni yaadgaron kay inn say boht ziyadah thay pus
Allah ney unhen unn kay gunahon per pakar liya aur koi na hua
jo unhen Allah kay azab say bacha leta.
40.22 Yeh iss waja say kay unn kay pass unn
kay payghumber mojzzay ley ker aatay thay to woh inkar ker detay
thay pus Allah unhen pakar leta tha. Yaqeenan woh taqatwar aur
sakht azab wala hai.
40.23 Aur hum ney musa (alh-e-salam) ko apni
aayaton aur khulli daleelon kay sath bheja.
40.24 Firaon hamaan aur qaroon ki taraf to
unhon ney kaha (yeh to) jaddogar aur jhoota hai.
40.25 Pus jab unn kay pass (musa alh-e-salam)
humari taraf say (deen) haq ko ley ker aaye to unhon ney kaha
kay iss kay sath jo emaan walay hain unn kay larkon ko to maar
dalo aur inn ki larkiyon ko zindah rakho aur kafiron ki jo heela
saazi hai woh ghalati mein hi hai. |
| |
|
| |
|
| |