 |
|
| World's
First Roman Urdu Translation Quran Shareef |
| |
| Surat-Ha-meem-assajdah
41 |
| (Sura-Ha-meem-assajdah Makka
mai Nazil hui, is mai chavvan (54) Aayatain hain) |
| |
41.01 Haa-meem
41.02 Utari hui hai baray meharban boht reham
walay ki taraf say.
41.03 (Aisi) kitab hai jiss ki aayaton ki wazeh
tafseel ki gaee hai (iss haal mein kay) quran arabi zaban mein
hai uss qom kay liye jo janti hai.
41.04 Khuskhabri sunanay wala aur daraney wala
hai phir bhi inn ki aksariyat ney mun pher liya aur woh suntay
hi nahi.
41.05 Aur enhon ney kaha kay tu jiss ki taraf
humen bula raha hai humaray dil to iss say parday mein hain
aur humaray kaano mein giraani hai aur hum mein aur tujh mein
aik hijab hai acha tu abb apna kaam kiyey ja hum bhi yaqeenan
kaam kerney walay hain.
41.06 Aap keh dijiyey! Kay mein to tum hi jaisa
insan hun mujh per wahee nazil ki jati hai kay tum sab ka mabood
aik Allah hi hai so tum uss ki taraf mutawajja hojaoaur uss
say gunhaon ki maafi chahao aur inn mushrikon kay liye (bari
hi) kharabi hai.
41.07 Jo zakat nahi detay aur aakhirat kay
bhi munkir hi rehtay hain.
41.08 Be-shak jo log emaan layen aur bhalay
kaam keren unn kay liye na khatam honey wala ajar hai.
41.09 Aap keh dijiye! Kay kiya tum uss (Allah)
ka inkar kertay ho aur tum uss kay shareek muqarrar kertay ho
jiss ney do din mein zamin peda kerdi saray jahano ka perwardigar
wohi hai.
41.10 Aur uss ney zamin mein aur uss kay uper
say pahaar gaar diyey aur iss mein barkat rakh di aur iss mein
(rehney walon ki) ghizaon ki tajweez bhi issi mein kerdi (sirf)
char din mein zaroorat mandon kay liye yaksan tor per.
41.11 Phir aasman ki taraf mutawajja hua aur
woh dhuwan (sa) tha pus issay aur zamin say farmaya kay tum
khushi say aao ya na khushi say. Donon ney araz kiya hum ba-khushi
hazir hain.
41.12 Pus do din mein saat aasman bana diyey
aur her aasman mein iss kay munasib ehkaam ki wahee bhej di
aur hum ney aasman-e-duniya ko charaghon say zeenat di aur nigheybaani
ki yeh tadbeer Allah ghalib-o-dana ki hai.
41.13 Abb bhi yeh roo-gardan ho to keh dijiyey!
Kay mein tumhen uss karak (azab-e-aasmani) say darata hun jo
misil aadiyon aur samoodiyon ki karak kay hogi.
41.14 Unn kay pass jab unkay aagay peechay
payghumbar aaye kay tum Allah kay siwa kissi ki ibadat na kero
to unhon ney jawab diya kay agar humara perwardigar chahata
to farishton ko bhejta. Hum to tumhari risalat kay bilkul munkir
hain.
41.15 Abb aad ney to bey waja zamin mein sirkashi
shooro kerdi aur kehney lagay kay hum say zor-aawar kon hai?
Kiya unhen yeh nazar na aaya kay jiss ney unhen peda kiya hai
woh unn say (boht hi) ziyadah zor-aawar hai woh (aakhir tak)
humari aayaton ka inkar hi kertay rahey.
41.16 Bil-aakhir hum ney unn per aik tez-o-tund
aandhi manhoos dino mein bhej di kay unhen dunyawi zindagi mein
zillat kay azab ka maza chakha den aur (yaqeen mano) kay aakhirat
ka azab iss say boht ziyadah ruswaee wala hai aur woh madad
nahi kiyey jayen gay.
41.17 Rahey samood so hum ney unn ki bhi rehbari
ki phir bhi unhon ney hidayat per andhay-pan ko tarjeeh di jiss
bina per unhen (sarapa) zillat kay azab ki karak ney unn kay
kartooton kay baees pakar liya.
41.18 Aur (haan) emaan daar aur paarsaaon ko
hum ney (baal baal) bacha liya.
41.19 Aur jiss din Allah kay dushman dozakh
ki taraf laye jayen gay aur inn (sab) ko jama kerdiya jayega.
41.20 Yahan tak kay jab bilkul jahannum kay
pass aajayen gay unn per unn kay kaan aur unn ki aankhen aur
unn ki khaalen unn kay aemaal ki gawahee den gay.
41.21 Yeh apni khalon say kahen gay kay tum
ney humaray khilaf shahdat kiyon di woh jawab den gi kay humen
uss Allah ney qoot-e-goyaee ata farmaee jiss ney her cheez ko
bolney ki taqat bakhshi hai ussi ney tumhen awwal martaba peda
kiya aur ussi ki taraf tum sab lotaye jaogay.
41.22 Aur tum (apni bad-aemaaliyan) iss waja
say pocheedah rakhtay hi na thay kay tum per tumhari kaan aur
tumhari aankhen aur tumhari khaalen gawahee den gi han tum yeh
samjhtay rahey kay tum jo kuch bhi ker rahey ho iss mein say
boht say aemaal say Allah bey-khabar hai.
41.23 Tumhari issi bad-gumani ney jo tum ney
apnay rab say ker rakhi thi tumhen halak ker diya aur bil-aakhir
tum ziyan kaaron mein hogaye.
41.24 Abb agar yeh sabar keren to bhi inn ka
thikana jahannum hi hai. Aur agar yeh (uzar-o)-maafi kay khuastgaar
hon to bhi (mazoor-o)-maaf nahi rakhay jayen gay.
41.25 Aur hum ney inn kay kuch hum nashee muqarrar
ker rakhay rhay jinhon ney unn kay aglay pichlay aemaal unn
ki nighaon mein khoobsurat bana rakhay thay aur inn kay haq
mein bhi Allah ka qol unn ummaton kay sath poora hua jo inn
say pehlay jinno aur insano ki guzar chuki hain. Yaqeenan woh
ziyan kaar sabir huyey. |
| |
|
| |
|
| |