 |
|
| World's
First Roman Urdu Translation Quran Shareef |
| |
| Surat-Dukhaan
44 |
| (Sura-Dukhaan Makka mai Nazil
hui, is mai unsatth (59) Aayatain hain) |
| |
44.01 Haa-meem
44.02 Qasam hai iss wazahat wali kitab ki.
44.03 Yaqeenan hum ney issay ba-barkat raat
mein utara hai be-shak hum daraney walay hain.
44.04 Issi raat mein her aik mazboot kaam
ka faisla kiya jata hai.
44.05 Humaray pass say hukum hoker hum hi
hain rasool bana ker bhejney walay.
44.06 Aap kay rab ki meharbani say. Wohi
hai sunnay wala jannay wala.
44.07 Jo rab hai aasmano ka aur zamin ka
aur jo kuch inn kay darmiyan hai agar tum yaqeen kerney walay
ho.
44.08 Koi mabood nahi iss kay siwa wohi jilata
hai aur maarta hai wohi tumhara rab hai aur tumharay aglay
baap dadon ka.
44.09 Bulkay woh shak mein paray khel rahen
hain.
44.10 Aap uss din kay muntazir rahen jabkay
aasman zahir dhuwan laye ga.
44.11 Jo logon ko gher ley ga yeh dard-naak
azab hai.
44.12 Kahen gay kay aey humaray rab! Yeh
aafat hum say door ker dey hum emaan qabool kertay hain.
44.13 Inn kay liye naseehat kahan hai? Khol
khol ker biyan kerney walay payghumber unn kay pass aa chukay.
44.14 Phir bhi inhon ney unn say mun phera
aur keh diya kay sikhaya parhaya hua baaoola hai.
44.15 Hum azab ko thora door ker den gay
to phir tum apni ussi halat per aajao gay.
44.16 Jiss din hum bari sakht pakar pakaren
gay bilyaqeen hum badla lenay walay hain.
44.17 Yaqeenan inn say pehlay hum qom-e-firaon
ko (bhi) aazma chukay hain jinn kay pass (Allah ka) ba-izzat
rasool aaya.
44.18 Kay Allah Taalaa kay bando ko meray
hawalay kerdo yaqeen mano kay mein tumharay liye amanat daar
rasool hun.
44.19 Aur tum Allah Taalaa kay samney sirkashi
na kero mein tumharay pass khulli daleel laney wala hun.
44.20 Aur mein apnay aur tumharay rab ki
panah mein aata hun iss say kay tum mujhay sangsaar kerdo.
44.21 Aur agar tum mujh per emaan nahi latey
to mujh say alag hi raho.
44.22 Phir unhon ney apnay rab say dua ki
kay yeh sabb gunehgar log hain.
44.23 (hum ney keh diya) kay raton raat tu
meray bando ko ley ker nikal yaqeenan tumhara peecha kiya
jayega.
44.24 Tu darya ko saakin chor ker chala jaa
bilashuba yeh lashkar gharq kerdiya jayega.
44.25 Woh boht say baghaat aur chashmey chor
gaye. |
| |
|
| |
|
| |