 |
|
| World's
First Roman Urdu Translation Quran Shareef |
| |
| Surat-Ehkaaf
46 |
| (Sura-Ehkaaf Makka mai Nazil
hui, is mai paintees (35) Aayatain hain) |
| |
46.01 Haa-meem
46.02 Iss kitab ka utarna Allah Taalaa ghalib
hikmat waly ki taraf say hai.
46.03 Hum ney aasmano aur zamin aur inn dono
kay darmiyan ki tamam cheezon ko behtreen tadbeer kay sath hi
aik muddat moayyen kay liye peda kiya hai aur kafir log jiss
cheez say daraye jatay hain mun mor letay hain.
46.04 Aap keh dijiye! Bhala dekho to jinhen
tum Allah kay siwa pukartay ho mujhay bhi to dikhao kay unho
ney zamin ka konsa tukra banaya hai ya aasmano mein unn ka konsa
hissa hai? Agar tum sachay ho to iss say pehlay hi ki koi kitab
ya koi ilm hi jo naqal kiya jata ho meray pass lao.
46.05 Aur iss say barh ker gumrah aur kon hoga?
Jo Allah kay siwa aison ko pukarta hai jo qayamat tak uss ki
dua qabool na ker saken bulkay unn kay pukarney say mehaz baykhabar
hon.
46.06 Aur jab logon ko jama kiya jayega to
yeh unn kay dushman hojayen gay aur unn ki parastish say saaf
inkaar ker jayen gay.
46.07 Aur enhen jabb humari aayaten parh ker
sunaee jati hain to munkir log sachi baat ko jabkay unkay pass
aa chuki keh detay hain kay yeh to sareeh jadoo hai.
46.08 Kiya woh kehtay hain kay issay to iss
ney khud ghar liya hai aap keh dijiye! Kay agar mein hi issay
bana laya hun to tum meray liye Allah ki taraf say kissi cheez
ka ikhtiyar nahi rakhtay tum iss (quran) kay baray mein jo kuch
keh sunn rahey ho ussay Allah khoob janta hai meray aur tumharay
darmiyan gawahee kay liye wohi kafi hai aur woh bakhshney wala
meharban hai.
46.09 Aap keh dijiye! Kay mein koi bilkul anokha
payghamber to nahi na mujhay yeh maloom hai kay meray satha
aur tumharay sath kiya kiya jayega. Mein to sirf ussi ki perwi
kerta hun jo meri taraf wahee bheji jati hai aur mein to sirf
alal elan aagah ker denay wala hun.
46.10 Aap keh dijiye! Agar yeh (quran) Allah
hi ki taraf say ho aur tum ney issay na mana ho aur bani israeel
ka aik gawah iss jaisi ki gawahee bhi dey chuka ho aur woh emaan
bhi la chuka ho aur tum ney sirkashi ki ho to be-shak Allah
Taalaa zalimon ko raah nahi dikhata.
46.11 Aur kafiron ney emaandaron ki nisbat
kaha kay agar yeh (deen) behtar hota to yeh log iss ki taraf
hum say sabqat kerney na patay aur chonkay enhon ney iss quran
say hidayat nahi paaee pus yeh keh den gay kay qadeemi jhoot
hai.
46.12 Aur iss say pehlay musa ki kitab peshwa
aur rehmat thi. Aur yeh kitab hai tasdeeq kernay wali arabi
zaban mein takay zalimon ko daraye aur nek karon ko bisharat
ho.
46.13 Be-shak jinn logon ney kaha kay humara
rab Allah hai phir iss per jamay rahey to inn per na to koi
khof hoga aur na ghumgeen hongay.
46.14 Yeh to ehl-e-jannat hain jo sada issi
mein rahengay unn aemaal kay badlay jo woh kiya kertay thay.
46.15 Aur hum ney insan ko apnay maa baap kay
sath husn-e-salook kerney ka hukum diya hai uss ki maa ney ussay
takleef jhel ker pet mein rakha aur takleef bardasht kerkay
ussay jana. Uss kay hamal aur uss kay doodh churaney ka zamana
tees maheeney ka hai yahan tak kay jab woh apni pukhtagi aur
chalees saal ki umer ko phoncha to kehnay laga aey meray perwerdigar!
Mujhay tofiq dey kay mein teri iss nemat ka shukar baja laon
jo tu ney mujh per aur meray maa baap per inam ki hai aur yeh
kay mein aisay nek amal keron jinn say tu khush hojaye aur tu
meri aulad bhi saleh bana. Mein teri tarf rujoo kerta hun aur
mein musalmano mein say hun.
46.16 Yehi woh log hain jinn kay nek aemaal
to hum qabool farma letay hain aur jinn kay bad aemaal say darguzar
ker letay hain (yeh) jannati logon mein hain. Iss sachay waday
kay mutabiq jo inn say kiya jata tha.
46.17 Aur jiss ney apnay maa baap say kaha
kay tum say mein tang aagaya tum mujh say yehi kehtay raho gay
kay mein marney kay baad phir zindah kiya jaoon ga mujh say
pehlay bhi ummaten guzar chuki hain woh dono janab bari mein
faryad kertay hain aur kehtay hain tujhay kharabi ho tu emaan
ley aa be-shak Allah ka wada haq hai woh jawab deta hai kay
yeh to sirf aglon kay afsaney hain.
46.18 Woh log hain jinn per (Allah kay azab
ka) wada sadiq aagaya inn jinnaat aur insano kay girohon kay
sath jo inn say pehlay guzar chukay hain yaqeenan yeh nuksan
panay walay thay.
46.19 Aur her aik ko apnay apnay aemaal kay
mutabiq darjay milen gay takay unhen unn kay aemaal kay pooray
badlay day aur unn per zulm na kiya jayega.
46.20 Aur jiss din kafir jahannum kay siray
per layen jayen gay (kaha jayega) tum ney apni nekiyan duniya
ki zindagi mein hi barbaad kerdin aur inn say faeedah utha chukay
pus aaj tumhen zillat kay azab ki saza di jayegi iss baees kay
tum zamin mein na-haq takabbur kiya kertay thay aur iss baees
bhi kay tum hukum adooli kiya kertay thay.
46.21 Aur aad kay bhai ko yaad kero jabb uss
ney apni qom ko aahqaaf mein daraya aur yaqeenan iss say pehlay
bhi daraney walay guzar chukay hain aur iss kay baad bhi yeh
kay tum siwaye Allah Taalaa kay aur ki ibadat na kero. Be-shak
mein tum per baray din kay azab say khof khata hun.
46.22 Qom ney jawab diya kiya aap humaray pass
iss liye aaye hain kay humen apnay maboodon (ki parastish) say
baaz rakhen? Pus agar aap sachay hain to jiss azab ka aap wada
kertay hain ussay hum per la dalen.
46.23 (hazrat Hood ney) kaha (iss ka) ilm to
Allah hi kay pass hai mein to jo paygham dey ker bheja gaya
tha woh tumhen phoncha raha hun lekin mein dekhta hun kay tum
log nadani ker rahey ho.
46.24 Phir jabb unhon ney azab ko basoorat
badal dekha apni wadiyon ki taraf aatay huye to kehnay lagay
yeh abar hum per barasney wala hai (nahi) bulkay dar-asal yeh
abar woh (azab) hai jiss ki tum jaldi ker rahey thay hawa hai
jiss mein dard-naak azab hai.
46.25 Jo apnay rab kay hukum say her cheez
ko halak ker day gi puz woh aisay hogaye kay bajuz unkay maknaat
kay aur kuch dikhaee na deta tha gunahgaron kay girohon ko hum
yunhi saza detay hain. |
| |
|
| |
|
| |