 |
|
| World's
First Roman Urdu Translation Quran Shareef |
| |
| Surat-Muhammad
47 |
| (Sura-Muhammad Makka mai Nazil
hui, is mai adtees (38) Aayatain hain) |
| |
47.01 Jinn
logon ney kufur kiya aur Allah ki raah say roka Allah ney unn
kay aemaal barbad ker diye.
47.02 Aur jo log emaan laye aur achay kaam
kiye aur uss per bhi emaan laye jo Muhammad (PBUH) per utari
gaee hai aur dar-asal inn kay rab ki taraf say sacha (deen)
bhi wohi hai Allah ney unn kay gunah door ker diye aur unn kay
haal ki islah ker di.
47.03Yeh iss liye kay kafiron ney baatil ki
pairwee ki aur momino ney uss din haq ki ittaba ki jo unn kay
Allah ki taraf say hai Allah Taalaa logon ko unkay ehwaal issi
tarah batata hai.
47.04 To jabb kafiron say tumhari mud-bher
ho to gardano per war maro jabb unko achi tarah kuchal dalo
to abb khoob mazboot qaid-o-band say giriftar kero (phir ikhtiyar
hai) kay khuwa ehsan rakh ker chor do ya fidya ley ker ta-waqt-e-kay
laraee apnay hathyar rakh day. Yehi hukum hai aur agar Allah
chahta to (khud) hi inn say badla ley leta lekin (uska mansha
yeh hai) kay tum mein say aik ka imtehan doosray kay zariyey
say ley ley jo log Allah ki raah mein shaheed ker diye jatay
hain Allah Taalaa unkay aemaal hergiz zaya na keray ga.
47.05 Unhen raah dikhaye ga aur unkay halaat
ki islah kerday ga.
47.06 Aur unhen uss jannat mein ley jaye ga
jiss say unhen shanasa ker diya hai.
47.07 Aey emaan walo! Agar tum Allah kay (deen)
ki madad kero gay to woh tumhari madad keray ga aur tumhen sabit
qadam rakhay ga.
47.08 Aur jo log kafir huye unhen halaki ho
Allah unkay aemaal ghaarat kerday ga.
47.09 Yeh iss liye kay woh Allah ki nazil kerdah
cheez say na khush huye pus Allah Taalaa ney (bhi) unn kay aemaal
zaya ker diye.
47.10 Kiya inn logon nay zamin mein chal phir
ker iss ka moaeena nahi kiya kay inn say pehlay kay logon ka
nateeja kiya hua? Allah ney unhen halak ker diya aur kafiron
kay liye iss tarah ki sazayen hain.
47.11 Woh iss liye kay emaan walon ka kaar
saaz khud Allah Taalaa hai aur iss liye kay kafiron ka koi kaar
saaz nahi.
47.12 Jo log emaan laye aur unhon ney nek aemaal
kiye unhen Allah Taalaa aisay baghon mein dakhil keray ga jinn
kay neechay nehren beh jari hain aur jo log kafir huye woh (duniya
hi ka) faeedah utha rahey hain aur misil chopayon kay kha rahey
hain unn ka asal thikana jahannum hai.
47.13 Hum ney kitni bastiyon ko jo taqat mein
teri iss basti say ziyadah thin jiss say tujhay nikala hum ney
unhen halak ker diya jinka madadgar koi na utha.
47.14 Kiya pus woh shaks jo apnay perwerdigar
ki taraf say dalil per ho uss shaks jaisa ho sakta hai? Jiss
kay liye uss ka bura kaam muzayyan ker diya gaya ho aur woh
apni nafsani khuwaishon ka pero ho?
47.15 Uss jannat ki sift jiss ka perhezgaron
say wada kiya gaya hai yeh hai kay uss mein pani ki nehren hain
jo badboo kernay wala nahi aur doodh ki nehren hain jinka maza
nahi badla aur sharab ki nehren hain jinn mein peenay walon
kay liye bari lazzat hai aur nehren hain shehad ki jo boht saaf
hain aur unn kay liye wahan her qisam kay meway hain aur unkay
rab ki taraf say maghfirat hai kiya yeh misil iss kay hain jo
hamesha aag mein rehnay wala hai? Aur jihen garam kholta hua
pani pilaya jaye ga jo inn ki aanton kay tukray tukray ker dey
ga.
47.16 Aur inn mein baaz (aisay bhi hain kay)
teri taraf kaan lagatay hain yahan tak kay jabb teray pass say
jatay hain to ehl-e-ilm say (ba-waja kund zehni-o-laperwahee
kay) poochtay hain kay iss ney abhi kiya kaha tha? Yehi log
hain jinn kay dilon per Allah ney mohar ker di hai aur woh apni
khuawishon ki perwi kertay hain.
47.17 Aur jo log hidayat yafta hain Allah ney
unhen hidayat mein aur barha diya hai aur unhen unki perhezgari
ata farmaee hai.
47.18 To kiya yeh qayamat ka intezar ker rahe
hain kay woh inn kay pass achanak aajaye yaqeenan iss ki alamaten
to aa chuki hain phir jabkay inn kay pass qayamat aajaye enhen
naseehat kerna kahan hoga?
47.19 So (aey nabi) aap yaqeen kerlen kay Allah
kay siwa koi mabood nahi aur apnay gunahon ki bakhsish manga
keren aur momin mardon aur momin aurton kay haq mein bhi Allah
tum logo ki amdoraft ki aur rehnay sehnay ki jagah khoob janta
hai.
47.20 Aur jo log emaan laye woh kehtay hain
koi soorat kiyon nazil nahi ki gaee? Phir jab koi saaf matlab
wali soorat nazil ki jati hai aur iss mein qitaal ka ziker kiya
jata hai to aap dekhtay hain jinn logon kay dilon mein beemari
hai woh aap ki taraf iss tarah dekhtay hain jaisay uss shaks
ki nazar hoti hai jiss per mot ki beyhoshi taari ho pus boht
behtar tha unn kay liye.
47.21 Farman ka baja lana aur achi baat ka
kehna. Phir jab kaam muqarrar hojaye to agar Allah kay sath
sachay rahen to unn kay liye behtri hai.
47.22 Aur tum say yeh bhi baeed nahi kay tum
ko agar hukumat mill jaye to tum zamin per fasad berpa kerdo
aur rishtay natay tor dalo.
47.23 Yeh wohi log hain jinn per Allah ki phitkaar
hai aur jinn ki samaat aur aankhon ki roshni cheen li hai.
47.24 Kiya yeh quran mein ghor-o-fiker nahi
kertay? Ya inn kay dilon per unn kay talay lag gaye hain.
47.25 Jo log apni peeth kay bal ultay phir
gaye iss kay baad kay unn kay liye hidayat wazeh ho chuki yaqeenan
shetan ney unn kay liye (unkay fail ko) muzayyen ker diya hai
aur unhen dheel day rakhi hai. |
| |
|
| |
|
| |