 |
|
| World's
First Roman Urdu Translation Quran Shareef |
| |
| Surat-Fatah
48 |
| (Sura-Fatah Makka mai Nazil
hui, is mai unattees (29) Aayatain hain) |
| |
48.01 Be-shak
(aey nabi) hum ney aap ko aik khullam khulla fatah di hai.
48.02 Takay jo kuch teray gunah aagay huye
aur jo peechay sab ko Allah Taalaa maaf farmaye, aur tujh per
apna ehsan poora ker day aur tujhay seedhi raah chalaye.
48.03 Aur aap ko aik zabardast madad day.
48.04 Wohi hai jiss ney musalmano kay dilon
mein sukoon (aur itminan) daal diya takay apnay emaan kay sath
hi sath aur bhi emaan mein barh jayen, aur aasmano aur zamin
kay (kul) lashkar Allah hi kay hain. Aur Allah Taalaa dana ba-hikmat
hai.
48.05 Takay momin mardon aur aurton ko inn
jannaton mein ley jaye jinn kay neechay nehren beh rahi hain
jahan woh hamesha rahen gay aur inn say unkay gunah door ker
dey aur Allah kay nazdeek yeh boht bari kamyabi hai.
48.06 Aur takay inn munafiq mardon aur mufiq
aurton aur mushrik mardon aur mushrika aurton ko azab day jo
Allah Taalaa kay baray mein bad-gumaniyan rakhney walay hain.
(dar-asal) enhin per buraee ka phera hai, Allah inn per naraz
hua aur enhen lanat ki aur inn kay liye dozakh tayyar ki aur
woh (boht) buri lotney ki jagah hai.
48.07 Aur Allah ji kay liye aasmano aur zamin
kay lashkar hain aur Allah ghalib aur hikmat wala hai.
48.08 Yaqeenan hum ney tujhay gawahee denay
wala aur khushkhabri sunanay wala aur daraney wala bana ker
bheja hai.
48.09 Takay (aey musalmano), tum Allah aur
uss kay rasool per emaan lao aur uss ki madad kero aur uss ka
adab kero aur Allah ki paki biyan kero subah-o-shaam.
48.10 Jo log tujh say bait kertay hain woh
yaqeenan Allah say bait kertay hain, unkay hathon per Allah
ka hath hai, to jo shaks ehad shikni keray woh apnay nafs per
hi ehad shikni kerta hai aur jo shaks iss iqrar ko poora keray
jo uss ney Allah kay sath kiya hai to ussay unqareeb Allah boht
bara ajar deyga.
48.11 Dehatiyon mein say jo log peechay chor
diyey gaye thay woh abb tujh say kahen gay kay hum apnay maal
aur baal bachon mein lagay reh gaye pus aap humaray liye maghfirat
talab kijiye. Yeh log apni zabano say woh kehtay hain jo inn
kay dilon mein nahi hai. Aap jawab day dijiye kay tumharay liye
Allah ki taraf say kissi cheez ka bhi ikhtiyar kon rakhta hai
agar woh tumhen nuksan phonchana chahye to ya tumhen koi nafa
dena chahye to, bulkay tum jo kuch ker rahey ho uss say Allah
khoob ba-khabar hai.
48.12 (Nahi) bulkay tum ney to yeh guman ker
rakha tha kay payghamber aur musalmano ka apnay gharon ki taraf
lot aana qat’an na-mumkin hai aur yehi khayal tumharay
dilon mein rach bus gaya tha aur tum ney bura guman ker rakha
tha. Darasal tum log ho bhi halak honey walay.
48.13 Aur jo shaks Allah per aur uss kay rasool
per emaan na laye to hum ney bhi aisay kafiron kay liye dehakti
aag tayyar ker rakhi hai.
48.14 Aur zamin aur aasmano ki badshaat Allah
hi kay liye hai jissay chahye bakhshayaur jissay chahye azab
keray. Aur Allah bara bakhshney wala meharban hai.
48.15 Jabb tum ghanimaten lenay janay lago
gay to jhat say yeh peechay choray huye log kehney lagen gay
kay humen bhi apnay sath chalney ki ijazat dijiye’ woh
chahtay hain kay Allah Taalaa kay kalam ko badal dein aap keh
dijiye! Kay Allah Taalaa pehaly hi farma chuka hai kay tum hergiz
humaray sath nahi chalo gay’ woh iss ka jawab dein gay
(nahi nahi) bulkay tum hum say hasad kertay ho’ (asal
baat yeh hai) kay woh log boht hi kum samjhtay hain.
48.16 Aap peechay choray huye badviyon say
kehdo kay unqareeb tum aik sakht jangjoo qom ki taraf bulaye
jao gay kay tum unn say laro gay ya woh musalman hojayen gay
pus agar tum ita’at kero gay to Allah tumhen boht behtar
badla dey ga aur agar tum ney mun pher liya jaisa kay iss say
pehlay tum mun pher chukay ho to woh tumhen dard-naak azab dey
ga.
48.17 Andhay per koi harj nahi hai aur na langray
per koi harj hai aur na beemar per koi harj hai’ jo koi
Allah aur uss kay rasool ki farmabardaari keray ussay Allah
aisi jannaton mein dakhil keray ga jiss kay (darkhton) talay
nehren jaari hain aur jo min pher ley ussay dard-naak azab (ki
saza) dey ga.
48.18 Yaqeenan Allah Taalaa momino say khush
hogaya jabkay woh darakht talay tujh say bait ker rahey thay
unn kay dilon mein jo tha ussay uss ney maloom kerliya aur unn
per itminaan nazil farmaya aur unhen qareeb ki fatah inayat
farmaee.
48.19 Aur boht si ghanimaten jinhen woh hasil
keren gay aur Allah ghalib hikmat wala hai.
48.20 Allah Taalaa ney tum say boht sari ghnimaton
ka wada kiya hai jinhen tum hasil kero gay pus yeh to tumhen
jaldi hi ata farma di aur logon kay hath tum say rok diye takay
momino kay liye yeh aik nishani hojaye aur (takay) woh tumhen
seedhi raah chalaye.
48.21 Aur tumhen aur (ghanimaten) bhi day jinn
per abb tak tum ney qaboo nahi paya. Allah Taalaa unhen apnay
qaboo mein rakha hai aur Allah Taalaa her cheez per qadir hai.
48.22 Aur agar tum say kafir jang kertay to
yaqeenan peeth dikha ker bhagtay phir na to koi kaarsaaz patay
na madadgar.
48.23 Allah Taalaa kay qaeeday kay mutabiq
jo pehlay say chala aaya hai tu kabhi bhi Allah kay qaeeday
ko badalta hua na paye ga.
48.24 Wohi hai jiss ney khaas makkah mein kafiron
kay hathon ko tum say aur tumharay hathon ko unn say rok liya
iss kay baad kay uss ney tumhen unn per ghalba dey diya tha
aur tum jo kuch ker rahey ho Allah Taalaa ussay dekh raha hai.
48.25 Yehi woh log hain jinhon ney kufur kiya
aur tumko masjid-e-haram say roka aur qurbani kay liye moqoof
janwar ko uss ki qurban gah mein phonchney say (roka) aur agar
aisay (boht say) musalman mard aur (boht si) musalman aurten
na hoti jinn ki tum ko khabar na thi yani unn kay piss janey
ka ehtimal na hota jiss per unki waja say tum ko bhi bey khabri
mein zararr phonchta (to tumhen larney ki ijazat dey di jati
lekin aisa nahi kiya gaya) takay Allah Taalaa apni rehmat mein
jiss ko chahye dakhil keray aur agar yeh alag alag hotay to
inn mein say jo kafir thay hum unn ko dard-naak saza detay.
48.26 Jabkay inn kafiron ney apnay dilon mein
hamiyat ko jagah di aur hamiyat bhi jaheeliyat ki so Allah Taalaa
ney apnay rasool per aur momineen per apni taraf say taskeen
nazil farmaee aur Allah Taalaa ney musalmano ko takway ki baat
per jamaye rakha aur woh iss kay ehal aur ziyadah mustahiq thay
aur Allah Taalaa her cheez ko khoob jaanta hai.
48.27 Yaqeenan Allah Taalaa ney apnay rasool
ko khuwab sacha dikhaya kay inshaAllah tum yaqeenan pooray aman-o-aman
kay sath masjid-e-haram mein dakhil hogay sir kay baal mundwatay
huye aur sir kay baal katarwatay huye (chain kay sath) nidar
hoker woh inn umoor ko jaanta hai jinhen tum nahi jantay pus
uss ney iss say pehlay aik nazdeek ki fatah tumhen mayassar
ki.
48.28 Wohi hai jiss ney apnay rasool ko hidayat
aur deen-e-haq kay sath bheja takay issay her deen per ghalib
keray aur Allah Taalaa kafi hai gawahee denay wala.
48.29 Muhammad (PBUH) Allah kay rasool hain
aur jo log unn kay sath hain kafiron per sakht hain aapas mein
reham dil hain tu enhen dekhay ga kay rukoo aur sajday ker rahey
hain Allah Taalaa kay fazal aur raza mandi ki justujoo mein
hain inn ka nishan inn kay chehron per sajdon kay asar say hai
inn ki yeh hi misal toraat mein hai aur inn ki misal injeel
mein hai misil uss kheti kay jiss ney apna ankhwa nikala phir
ussay mazboot kiya aur woh mota hogaya phir apnay tanay per
seedha khara hogaya aur kisano ko khush kernay laga takay inn
ki waja say kafiron ko chiraye inn emaan walon aur nek aemaal
walon say Allah ney bakhsish ka aur boht baray sawab ka wada
kiya hai. |
| |
|
| |
|
| |