 |
|
| World's
First Roman Urdu Translation Quran Shareef |
| |
| Surat-Hujraat
49 |
| (Sura-Hujraat Makka mai Nazil
hui, is mai atthara (18) Aayatain hain) |
| |
49.01 Aey
emaan walay logo! Allah aur uss kay rasool say aagay na barho
aur Allah say dartay raha kero. Yaqeenan Allah Taalaa sunnay
wala, jannay wala hai.
49.02 Aey emaan walo! Apni aawazen nabi ki
awaz say uper na kero aur na unn say unchi aawaz say baat kero
jesay aapas mein aik doosray say kertay ho, kahin (aisa na ho
kay) tumharay aemaal ikaarat jayen aur tumhen khabar bhi na
ho.
49.03 Be-shak jo log Rasool Allah (PBUH) kay
huzoor mein apni aawazen past rakhtay hain yehi woh log hain
jinn kay dilon ko Allah ney perhezgari kay liye jaanch liya
hai. Inn kay liye maghfirat hai aur bara sawab hai.
49.04 Jo log aap ko hujron kay peechay say
pukaray hain inn mein say aksar (bilkul) bey aqal hain.
49.05 Agar yeh log yahan tak sabar kertay kay
aap khud say nikal ker inn kay pass ajatay to yehi inn kay liye
behtar hota, aur Allah ghafoor-o-raheem hai.
49.06 Aey musalmano! Agar tumhen koi fasiq
khabar dey to tum uss ko achi tarah tehqeeq kerlia kero aisa
na ho kay nadaani mein kissi qom ko eza phoncha do phir apnay
kiye per pasheymani uthao.
49.07 Aur jaan rakho kay tum mein Allah kay
rasool mojood hain agar woh tumhara kaha kertay rahey boht umoor
mein, to tum mushkil mein par jao lekin Allah Taalaa ney emaan
ko tumharay liye mehboob bana diya hai aur issay tumharay dilon
mein zeenat dey rakhi hai aur kufur ko aur gunah ko aur nafarmaani
ko tumhari nighaon mein napasandeedah bana diya hai, yehi log
raah yaafta hain.
49.08 Allah kay ehsan-o-inam say aur Allah
dana aur bahikmat hai.
49.09 Aur agar musalmanon ki do jamaten aapas
mein larr paren to unn mein mail milaap kerwa diya kero. Phir
agar unn dono mein say aik jamat doosri jamat per ziyadti keray
to tum (sab) uss giroh say jo ziyadti kerta hai laro.yahan tak
kay woh Allah kay hukum ki taraf lot aaye, agar lot aaye to
phir insaf kay sath sulah kerado aur adal kero be-shak Allah
Taalaa insaf kerney walon say mohabbat kerta hai.
49.10 (Yaad rakho) saray musalman bhai bhai
hain pus apnay do bhaiyon mein milap kera diya kero, aur Allah
say dartay raho takay tum per reham kiya jaye.
49.11 Aey emaan walo! Mard doosray mardon ka
mazak na urayen mumkin hai kay yeh unn say behtar ho aur na
orten orton ka mazak urayen mumkin hai kay yeh unn say behtar
hon aur aapas mein aik doosray ko aib na lagao aur na kissi
ko buray laqab do emaan kay baad fisq bura naam hai aur jo toba
na keren wohi log zalim hain.
49.12 Aey emaan walo! Boht badgumaaniyon say
bacho yaqeen mano kay baaz badgumaniyan gunah hain, aur bhed
na tatola kero aur na tum mein say koi kissi ki gheebat keray.
Kiya tum mein say koi bhi apnay murdah bhai ka gosht khana pasand
kerta ha? Tum ko iss say ghinn aayegi, aur Allah say dartay
raho, be-shak Allah toba qabool kernay wala meharbaan hai.
49.13 Aey logo! Hum ney tum sabb ko aik (hi)
mard-o-orat say peda kiya hai aur iss liye kay tum aapas mein
aik doosray ko pehchano kunbay aur qabeelay bana diye hain Allah
kay nazdeek tum sabb mein say ba-izzat woh hai jo sabb say ziyadah
darney wala hai yaqeen mano kay Allah dana aur ba-khabar hai.
49.14 Dehaati log kehtay hain kay hum emaan
laye. Aap keh dijiye kay darhaqeeqat tum emaan nahi laye lekin
tum yun kaho kay hum islam laye (mukhalifat chor ker mutee hogaye)
halankay abhi tak tumharay dilon mein emaan dakhil hi nahi hua.
Tum agar Allah ki aur uss kay rasool ki farmabardaari kerney
lago gay to Allah tumharay aemaal mein say kuch bhi kum na keray
ga. Be-shak Allah bakhshney wala meharbaan hai.
49.15 Momin to woh hain jo Allah per aur uss
kay rasool per (pakka) emaan layen phir shak-o-shuba na keren
aur apnay malon say aur apni jano say Allah ki raah mein jihad
kertay rahen, (apnay dawaay-e-emaan mein) yehi sachay aur raast
go hain.
49.16 Kehdijiye! Kay kiya tum Allah Taalaa
ko apni deen dari say aagah ker rahey ho, Allah her uss cheez
say jo aasmano mein aur zamin mein hai bakhoobi aagah hai aur
Allah her cheez ka jannay wala hai.
49.17 Apnay musalman honay ka aap per ehsan
jatatay hain. Aap kehdijiye kay apnay musalman honay ka ehsan
mujh per na rakho bulkay dar-asal Allah ka tum per ehsan hai
kay uss ney tumhen emaan ki hidayat ki agar tum raast go ho.
49.18 Yaqeen mano kay aasmano aur zamin ki
posheedah baaten Allah khoob jaanta hai aut jo kuch tum ker
rahey ho ussay Allah khoob dekh raha hai. |
| |
|
| |
|
| |