 |
|
| World's
First Roman Urdu Translation Quran Shareef |
| |
| Surat-Qaaf
50 |
| (Sura-Qaaf Makka mai Nazil
hui, is mai paintalees (45) Aayatain hain) |
| |
50.01 Qaaf
bohat bari shan walay iss quran ki qasam.
50.02 bulkay enhen tajjub maloom hua kay inn
kay pass inhi mein say aik aagah kerney wala aaya to kafiron
ney kaha kay yeh aik ajeeb cheez hai.
50.03 kiya jabb hum mar ker mitti hojayen gay
phir yeh wapsi door (az aqal) hai.
50.04 Zamin jo kuch inn mein say ghatati hai
who humen maloom hai aur humaray pass sabb yaad rakhnay waali
kitab hai.
50.05 Buklay inhon nay sachi baat ko jhoot
kaha hai jabkay who inn kay pass phonch chuki pus who aik uljhao
mein par gaye hain.
50.06 Kiya inhon nay aasman ko apnay uper nahi
dekha? Kay hum ney ussay kiss tarah banaya aur zeenat di hai
iss mein koi shigaf nahi.
50.07 Aur zamin ko hum ney bicha diya hai aur
iss mein hum ney pahaar daal diye hain aur iss mein hum ney
qisam qisam ki khushnuma cheezen uga di hain.
50.08 Takay her rujoo kernay walay bandey kay
liye beenaee aur daanaaee ka zariya ho.
50.09 Aur hum ney aasman say babarkat pani
barsaya aur iss say baghaat aur katney walay khet k ghallay
peda kiye.
50.10 Aur khujuron kay buland-o-bala darakht
jinkay khoshay teh ba teh hain.
50.11 Bandon ki rozi kay liye aur hum ney pani
say murda shehar ko zinda ker diya. Issi tarah (qabron say)
nikalna hai.
50.12 Inn say pehlay Nooh ki qom ney aur rass
walon ney aur samood ney.
50.13 Aur aad ney aur firaon ney aur biradran-e-loot
ney.
50.14 Aur aeeka walon ney aur tubba ki qom
ney bhi takzeeb ki thi.sab ney payghambron ko jhutlaya pus mera
wada-e-azab inn per sadiq aagaya.
50.15 Kiya hum pehli baar kay peda kerney say
thak gaye? Bulkay yeh log naee pedaeesh ki taraf say shak mein
hain.
50.16 Hum ney insan ko peda kiya hai aur iss
kay dil mein jo khayalat uthtay hain unn say hum waqif hain
aur hum uss ki rag-e-jaan say bhi ziyadah uss say qareeb hain.
50.17 Jiss din do lenay walay ja letay hain
aik dayen taraf aur aik bayen taraf betha hua hai.
50.18 (Insan) mun say koi lafz nikal nahi pata
magar kay usskay pass nigheban tayyar hai.
50.19 Aur mot ki beyhoshi haq ley ker aa phonchi
yehi hai jiss say tu bidakta phirta tha.
50.20 Aur soor phonk diya jayega.Wada-e-azab
ka din yehi hai.
50.21 Aur her shaks iss tarah aayega kay uss
kay sath aik lanay wala hoga aur aik gawahee denay wala.
50.22 Yaqeenan tu iss say ghaflat mein tha
lekin hum ney teray samney say pardah hata diya pus aaj teri
nigah bohat tez hai.
50.23 Uss ka humnasheen (farishta) kahega yeh
hazir hai jo kay meray pass tha.
50.24 Daal do jahannum mein her kafir sirkash
ko.
50.25 Jo nek kaam say rikney wala aur hadd
say guzar janay wala aur shak kerney wala tha. |
| |
|
| |
|
| |