 |
|
| World's
First Roman Urdu Translation Quran Shareef |
| |
| Surat-Zaariyaat
51 |
| (Sura-Zaariyaat Makka mai Nazil
hui, is mai satth (60) Aayatain hain) |
| |
51.01 Qasam
hai bikherney waliyan ki ura ker.
51.02 Phir uthaney waliyan bojh ko.
51.03 Phir chalney waliyan narmi say .
51.04 Phir kaam ko taqseem kerney waliyan.
51.05 Yaqeen mano kay tum say jo wadey kiye
jatay hain (sab) sachay hain.
51.06 Aur be-shak insaf honey walahai.
51.07 Qasam hai raahon walay aasman ki.
51.08 Yaqeenan tum mukhtalif baat mein paray
huye ho.
51.09 Iss say wohi baaz rakha jatahai jo pher
diya gaya ho.
51.10 Bey savad baten kerney walay gharat kerdiye
gayr.
51.11 Jo ghaflat mein hain aur bhoolay huye
hain.
51.12 Poochtey hain kay yom-e-jaza kab hoga?
51.13 han yeh woh din hai kay yeh aag per tapaye
jayen gey.
51.14 Apni fitna-perdazi ka maza chakho yehi
hai jiss ki tum jaldi macha rahey thay.
51.15 Be-shak taqwa walay log bahishton aur
chashmon mein hongey.
51.16 unn kay rab ney jo kuch unhen ata farmaya
hai ussay ley rahey hongey woh to iss say pehlay hi nekokaar
thay.
51.17 Woh raat ko boht kum soya kertay thay.
51.18 Aur waqt-e-sahar istaghfaar kiya kertay
thay.
51.19 Aur unkay maal mein mangney walon ka
aur sawal say bachney walon ka haq tha.
51.20 Aur yaqeen walon kay liye to zamin mein
boht si nishaniyan hain.
51.21 Aur khud tumhari zaat mein bhi to kiya
tum dekhtay ho.
51.22 Aur tumhari rozi aur jo tum say wada
kiya jata hai sab aasman mein hai.
51.23 Aasman-o-zamin kay perwerdigar ki qasam!
kay yeh bilkul barhaq hai aisa hi jaisay kay tum baten kertay
ho.
51.24 Kiya tujhay ibrahim(alh-e-salam)kay moazziz
mehmanon ki khabar bhi phonchi hai?
51.25 Woh jab unkay han aaye to salam kiya
ibrahim ney jawab-e-salam diya(aur kaha yeh to) ajnabi log hain. |
| |
|
| |
|
| |