 |
|
| World's
First Roman Urdu Translation Quran Shareef |
| |
| Surat-Toor
52 |
| (Sura-Toor Makka mai Nazil
hui, is mai onanchaas (49) Aayatain hain) |
| |
52.01 Qasam
hai toor ki.
52.02 Aur likhi hui kitab ki.
52.03 Jo jhilli kay khulay huye warq mein hai.
52.04 Aur abad ghar ki.
52.05 Aur unchi chat ki.
52.06 Aur bharkaye huye samandar ki.
52.07 Be-shak app kay rab ka azab hoker rehnay
wala hai.
52.08 Ussay koi rokney wala nahi.
52.09 Jiss din aasman thar tharaney lagay ga.
52.10 Aur pahaar chalney phirney lagen gey.
52.11 uss din jhutlaney walon ki (poori) kharabi
hai.
52.12 Jo apni behuda goee mein uchal kood ker
rahey hain.
52.13 Jiss din woh dhakkay dey ker aatish jahannam
ki taraf laye jayen gey.
52.14 Yehi wohi aatish dozakh hai jissay tum
jhoot batlatey thay.
52.15 (Abb batao) kiya yeh jadoo hai? ya tum
dekhtay hi nahi ho.
52.16 Jao dozakh mein abb tumhara sabar kerna
aur na kerna tumharay liye yaksan hai tumhein faqat tumharay
kiye ka badla diya jayega.
52.17 Yaqeenan perhezgar log jannaton mein
aur nematon mein hain.
52.18 Jo unhen unkay rab ney dey rakhi hain
uss per khush khush hain aur unkay perwerdigar ney unhen jahannam
kay azab say bhi bacha liya hai.
52.19 Tum mazay say khatay peetay raho inn
aemaal kay badlay jo tum kertay thay.
52.20 Baraber bichay huye shandar takhtay per
takkiye lagaye huye aur hum ney unkay nikkah bari bari aankhon
wali(hooron) say kerdiye hain.
52.21 Aur jo log emaan laye aur unki olad ney
bhi emaan mein unki perwi ki hum unki olad ko unntak phoncha
dengey aur unkay amal say hum kuch kum na keren gey.her shaks
apney aemaal ka girwi hai.
52.22 Hum unkay liye meway aur marghoob gosht
ki rail pail kerden gey.
52.23 (khush tabaee kay sath) aik doosray say
jam (sharab) ki cheena jhapta keren gey jiss sharab kay suroor
mein to beyhuda goee hogi na gunah.
52.24 Aur unkay gird unkay no-umer ghulam chal
phir rahey hongey goya kay woh moti thay ji dhakay rakhay thay.
52.25 Aur aapas mein aik doosray ki taraf mutawajja
hoker sawal kerengey. |
| |
|
| |
|
| |