 |
|
| World's
First Roman Urdu Translation Quran Shareef |
| |
| Surat-Qamar
54 |
| (Sura-Qamar Makka mai Nazil
hui, is mai pachpan (55) Aayatain hain) |
| |
54.01 Qayamat
qareeb agaee aur chand phat gaya.
54.02 Yeh agar koi mojzza dekhtay hain to mun
pher letay hain aur kehdetay hain. kay yeh pehlay say chala
aata hua jadoo hai.
54.03 inhon ney jhutlaya aur apni khuwaishon
ki pairwi ki aur her kaam theray huye waqt per muqarrar hai.
54.04 yaqeenan inn kay pass woh khabren aa
chuki hain jin mein dant dapat (ki naseehat) hai.
54.05 Aur kamil aqal ki baat hai lekin in darawni
baaton ney bhi kuch faeedah na diya.
54.06 Pus (aey nabi) tum inn say aeyraaz kero
jiss din aik pukarnay wala nagawaar cheez ki taraf pukaray ga.
54.07 yeh jhuki aankhon qabron say iss tarah
nikal kharay hongay kay goya woh phela hua taddi dal hai.
54.08 Pukarnay walay ki taraf dortay hongay
aur kafir kahengey yeh din to boht sakht hai.
54.09 Inn say pehlay qom-e-nooh ney bhi humaray
banday ko jhulaya tha aur deewana batla ker jhirak diya gaya
tha.
54.10 Pus uss ney apney rab say dua ki kay
mein beybus hun tu meri madad ker.
54.11 Pus hum ney aasman kay darwazon ko zor
kay menh say khol diya.
54.12 Aur zamin say chashmon ko jaari kerdiya
pus uss kaam kay liye jo muqaddar kiya gaya tha (dono) paani
jama hogaye.
54.13 Aur hum ney issay takhton aur keelon
wali (kashti) per sawaar kerliya.
54.14 Jo humari aankhon kay samnay chal rahi
thi badla uss ki taraf say jiss ka kufur kiya gaya tha.
54.15 Aur be-shak hum ney iss waqaey ko nishani
bana ker baqi rakha pus koi hai naseehat hasil kerney wala.
54.16 Batao mera azab aur meri daraney wali
baaten kaisi rahen?
54.17 Aur be-shak hum ney quran ko samajhney
kay liye aasan kerdiya hai pus kiya koi naseehat hasil kerney
wala hai?
54.18 Qom-e-aad ney bhi jhutlaya pus kaisa
hua mera azab aur meri daraney wali baten.
54.19 Hum ney unn per tez-o-tund musalsal chalney
wali hawa aik peham manhoos din mein bhej di.
54.20 Jo logon ko utha utha ker dey patakhti
thi goya kay woh jarr say katey huye khajoor kay taney hain.
54.21 Pus kaisi rahi meri saza aur mera darana?
54.22 Yaqeenan hum ney quran ko naseehat kay
liye aasan kerdia hai pus kiya koi hai naseehat hasil kerney
wala.
54.23 Qom-e-samood ney daraney walon ko jhutlaya.
54.24 Aur kehney lagay kiya humi mein say aik
shaks ki hum farmanbardaari kerney lagen? tab to hum yaqeenan
ghalati aur deewangi mein paray huye hongey.
54.25 Kiya humaray sab kay darmiyan sirf issi
per wahi utaari gaee nahi bulkay woh jhoota shekhi khor hai. |
| |
|
| |
|
| |