 |
|
| World's
First Roman Urdu Translation Quran Shareef |
| |
| Surat-Hadeed
57 |
| (Sura-Hadeed Makka mai Nazil
hui, is mai unattees (29) Aayatain hain) |
| |
57.01 Aasmanon
aur zamin mein jo hai (Sub) Allah ki tasbeeh ker rahey hain
woh zabardast ba-hikmat hai.
57.02 Aasmanon aur zamin ki badshahat ussi
ki hai.woh hi zindagi deta hai aur mot bhi aur woh her cheez
per qadir hai.
57.03 Wohi pehlay hai aur wohi peechay wohi
zahir hai aur wohi makhfi aur woh her cheez ko bakhoobi janney
wala hai.
57.04 Wohi hai jiss ney aasmanon aur zamin
ko cheh (6) din mein peda kiya phir arsh per mustawi hogaya
Woh (Khoob) jaanta hai uss cheez ko zamin mein jaye aur jo uss
say niklay aur jo aasmanoon say neechay aaye. aur jo kuch Charh
ker uss mein jaye aur jahan kahin tum ho woh tumharay sath hai
aur jo tum kerahey ho Allah dekh raha hai.
57.05 Aasmanoon ki aur zamin ki baadshahi ussi
ki hai aur tamam kaam ussi ki taraf lotaye jatay hain.
57.06 Wohi raat ko din mein lejata hai aur
wohi din ko raat mein dakhil kerdeta hai aur seenoon kay bhedon
ka woh poora aalim hai.
57.07 Allah per aur uss kay raool per emaan
ley aao aur uss maal mein say kharch kero jiss mein Allah ney
tumhen doosron ka janasheen banaya hai pus jo tum mein say emaan
leyen aur kheraat keren unhen boht bara sawab milay ga.
57.08 Tum ALLAH per emaan kiyon nahi latay
? Halankay khud rasool tumhen apney rab per emaan lanay ki dawat
dey raha hai agar tum momin ho to who to tum say mazboot ehad-o-paymaan
bhi ley chukka hai.
57.09 Woh (ALLAH) hi hai jo apney banday per
wazeh aayaten utaarta hai takay who tumhen andheron say noor
ki taraf ley jaye yaqeenan ALLAH taalaa tum per narmi kernay
wala reham kernay wala hai.
57.10 kertay' darasal aasmanon our zamin ke
meeress ka malik (tanha) Allah hi hai tum main say jin logo
ney fatah say pehlay fi subilillah diya hai our qitaal kiya
hai woh (doosron kay) barabar nahi bulkay unn say boht baray
darjay kay hain jinhon nay fatah kay baad kheyraaten den our
jahad kiyey haan bhalaee ka wada to Allah taalaaka unn sab say
hai jo kuch tum ker rahey ho uss say Allah khabardaarhai.
57.11 Kon hai jo Allah taalaa ko achi tarah
qarz dey phir Allah Taalaa issay uss kay liye barhata chala
jaye our uss kay liye pasandeedah ajar sabit hojaye.
57.12 (Qayamat Kay) din tu dekhay ga kay momin
mardo our orton ka noor unn kay aagay aagay our unkay dayen
dor raha hoga aaj tumhen inn jannaton ki khushkhabri hai jinkay
neechay nehren jaari hain jin main humesha ki rehaeesh hai yeh
hai bari kaamyabi.
57.13 Uss din munafiq mard-o-orat emaan walon
say kahan gay kay humara intizar to kero kay hum bhi tumharay
noor say kuch roshni hasil kerlen jawab diya jayega kay tum
apney peechay lot jao our roshni talash kero phir inkay our
unkay darmiyan aik deewar haaeel kerdi jayegi jiss main darwaaza
bhi hoga uss kay androoni hissay main to rehmathogi our bahir
ki taraf azab hoga.
57.14 Yeh chilla chilla ker unn say kahen gey
kay kiya hum tumharay sath na thay woh kahengay kay haan thay
to sahi lekin tum ney apney app ko fitnay mein phansa rakha
tha our intizar mein hi rahey our shak-o-shuba kertay raheyour
tumhen tumhari fazool tamannao ney dhokay mein hi rakha yahan
tak kay Allah ka hukum aa phoncha our tumhen Allah kay baray
mein dhoka denay walay ney dhokay mein hi rakha.
57.15 Algharz aaj tum say na fidya (aur na
badla) qabool kiya jayega our na kafiron say tum (sab) ka thikana
dozakh hai wohi tumhari rafiq hai our woh bura thikana hai.
57.16 Kiya abb tak emaan walon kay liye waqt
nahi aaya kay unkay dil zikar-e-elaahi say our our jo haqutar
chuka hai uss say narum hojayen our unki tarah na hojayen jinhen
unn say pehlay kitab di gaee thi phir job inn per aik zamana
dorazguzer gaya to unkay dil sakht hogaye our inn mein boht
say faasiq hain.
57.17 Yaqeen mano Allah hi zamin ko uss ki
mot kay baad zinda kerdeta hai hum ney to tumharay liye apni
aayaten biyan kerdin takay tum samjho.
57.18 Be-shak sadqa denay walay mard our sadqa
denay wali orten our jo Allah ko khuloos kay sath qarz dey rahey
hain unkay liye yeh barhaya jayega our unn kay liye pasandeedah
ajar-o-sawab hai.
57.19 Allah our uskay rasool per jo emaan rakhtay
hain wohi log apney rab kay nazdeek siddiq our shaheed hain
unkay liye unka ajar our unka noor hai our jo log kufur kertay
hain our humari aayaton ko jhutlatay hain woh jahannomi hain.
57.20 Khoob jaan rakho kay duniya ki zindagi
sirf khel tamasha zeenat aor aapas main fakhar (o-ghuroor) our
maal-o-olad main aik ka doosary say apney aap ko ziyadah batlana
jaisay barish aur iss ki padawaar kisanon ko achi maloom hota
hai phir job woh khushk hojati hai to zard rang main iss ko
tum dejhtey ho phir woh bilkul choora choora hojatai hai our
aakhirat main sakht azab aur Allah ke maghfirat our razamandi
hai our duniya ki zundagi ba-juz dhokay kay saman kay our kuch
bhi to nahi.
57.21 (Aao) doro apney rab ki maghfirat ki
taraf our uss jannat ki taraf jiss ki wussat kay barabar hai
yeh unkay liye banaee gaee hai jo Allah per aur uskay rasoolon
per emaan rakhtay hain yeh Allah ka fazal hai jissay chahye
dey aur Allah bara fazl wala hai.
57.22 Na koi museebat duniya main aati hai
na (Khaas) tumhari jaanon main magar iss say pehlay kay hum
usko peda keran woh aik khaas kitab main likhi hui hai yeh (kaam)
Allah taalaa per (bilkul)aasan hai.
57.23 Takay tum apney say fol shuda kissi cheez
per ranjeedah na hojoya kero our na attakerdah cheez per itra
jao.our itranay walay shekhi khoron ko Allah pasand nhifarmata.
57.24 Jo (khud bhi) bulkul keren aur doosron
ko (bhi) bulkhul ki taleem dea Suno! jo bhi main pheray Allah
beyniaz aur sazawaar hamd-o-sana hai.
57.25 yaqeenan hum ney apney payghambaron ko
khuli doleelen dey ker bheja our unkay sath kitab our meean
nazilfarmaya. takay log adal per qaeem rahein aur hum ney lohey
ko utara jiss mein sakht hebat-o-qooat hai aur logon kay liye
aur bhi (boht say) faeeday hain aur iss liye bhi kay ALLAH jaan
ley kay uski aur uss kay rasoolon ki madad bey dekhay kon kerta
hai be-shak ALLAH qooat wala aur zabardast hai.
57.26 Be-shak hum ney nooh aur ibrahim (aleh-e-salam)
ko (payghumber banaker) bheja aur hum ney inn dono ki olad mein
payghumbari aur kitab jari rakhi to inn mein say kuch to raah
yafta huye aur inn mein say aksar boht nafarman rahey.
57.27 Inn kay baad phir bhi hum apney rasoolon
ko pay-dar-pay bhejtay rahey aur inn kay baad Essa bin mariyum(aleh-e-salam)
ko bheja aur unhen injeel ata farmaee aur unn kay mannay walon
kay dilon mein shafqat aur reham peda kerdiahaan rehbaniyat
(tark-e-duniya) to un logon ney unn per issay wajib na kiya
tha siwaye ALLAH ki raza joee kay so so unhon ney iss ki poori
riyat na ki phir bhi hum ney unn mein say jo emaan laye thay
unhen unka ajar diya aur unn mein ziyadaah tar log nafarman
hain.
57.28 Aey woh logon jo emaan laye ho ALLAH
say dartay raha kero aur uss kay rasool per emaan lao ALLAH
tumhen apni rehmat ka dohra hissa dey ga aur tumhen noor dey
ga jiss ki roshni mein tum chalo gey phiro gey aur tumharay
gunah bhi moaaf farma dey ga ALLAH bakshnay wala meharbaan hai.
57.29 yeh iss liye kay ehl-e-kitab jaan lein
kay ALLAH kay fazal kay kissi hissay per bhi unhen ikhtiyar
nahi aur yeh kay (sara) fazal ALLAH hi kay hath hai woh jissay
chahye dey aur ALLAH hai hi bara fazal wala. |
| |
|
| |
|
| |