 |
|
| World's
First Roman Urdu Translation Quran Shareef |
| |
| Surat-Mujadala
58 |
| (Sura-Mujadala Makka mai Nazil
hui, is mai bayees (22) Aayatain hain) |
| |
58.01 Yaqeenan
Allah Taalaa ney uss aurat ki baat suni jo tujh say apney shoher
kay baray mein takraar ker rahi thi aur Allah kay aagay shikayat
ker rahi thi Allah Taalaa tum dono kay sawal-o-jawab sunn raha
tha be-shak Allah Taalaa sunnay dekhney wala hai.
58.02 Tum mein say jo log apni biwiyon say
zahaar kertay hain (yani unhen maa keh bethtay hain) woh dar
asal unn ki maayen nahi bann jatin unn ki maayen to wohi hain
jin kay batan say woh peda huye yaqeenan yeh log aik na maqool
aur jhooti baat kehtay hain be-shak Allah Taalaa moaf kerney
wala aur bakshney wala hai.
58.03 Jo log apni biwiyon say zahaar keren
phir apni kahi hui baat say rujoo ker len to unn kay zimmay
aapas mein aik doosray ko haath laganey say pehlay aik ghulam
aazad kerna hai iss kay zariye tum naseehat kiye jatay ho aur
Allah Taalaa tumharay tamam aemaal say ba khabar hai.
58.04 Haan jo shaks na paye uss kay zimmay
do maheenon kay laga taar rozay hain iss say pehlay kay aik
doosray ko haath lagayen aur jiss shaks ko yeh taqat bhi na
ho uss per saathh (60) miskeenon ka khana khilana hai. Yeh iss
liye kay tum Allah ki aur uss kay rasool ki hukum bardari kero
yeh Allah Taalaa ki muqarrar kerda hadden hain aur kuffaar hi
kay liye dard naak azab hai.
58.05 Be-shak jo log Allah aur uss kay rasool
ki mukhalifat kertay hain woh zaleel kiye jayen gay jaisay unn
say pehlay kay log zaleel kiye gaye thay aur be-shak hum wazeh
aayaten utaar chuken hain aur kafiron kay liye to zillat wala
azab hai.
58.06 Jiss din Allah Taalaa inn sab ko uthaye
ga phir enhen unn kay kiye huye aemaal say aagah keray ga jissay
Allah ney shumar ker rakha hai aur jissay yeh bhool gaye thay
aur Allah Taalaa her cheez say waqif hai.
58.07 Kiya tu ney nahi dekha kay Allah aasmanon
ki aur zamin ki her cheez say waqif hai. Teen aadmiyon ki sirgoshi
nahi hoti magar Allah unn ka chotha hota hai na paanch ki magar
unn ka chatha (6th) woh hota hai aur na iss say kum ki aur na
ziyada ki magar woh sath hi hota hai jahan bhi woh hon phir
qayamat kay din unhen unn ka aemaal say aagah keray ga be-shak
Allah Taalaa her cheez say waqif hai.
58.08 Kiya tu ney unn logon ko nahi dekha?
Jinhen kaana phoosi say rok diya gaya tha woh phir bhi iss rokay
huye kaam ko doobara kertay hain aur aapas mein gunah ki aur
zulm-o-ziyadti ki aur na farmaniy-e-payghumbar ki sirgoshiyan
kertay hain aur jab teray pass aatay hain to tujhay inn lafzon
mein salam kertay hain jin lafzon mein Allah Taalaa ney nahi
kaha aur apney dil mein kehtay hain kay Allah Taalaa humen iss
per jo hum kehtay hain saza kiyon nahi deta inn kay liye jahannum
kafi (saza) hai jiss mein yeh jayen gay so woh bura thikana
hai.
58.09 Aey eman walo! Tum jab sirgoshi kero
to yeh sirgoshiyan gunah aur zulm (ziyadti) aur na farmaniy-e-payghumbar
ki na hon bulkay neki aur perhezgari ki baaton per sirgoshi
kero aur uss Allah say dartay raho jiss kay pass tum jama kiye
jao gay.
58.10 (buri) sirgoshiyan pus shetani kaam hai
jiss say eman daaron ko ranj phonchay. Go Allah Taalaa ki ijazat
kay baghair woh enehn koi nuksan nahi phoncha sakta aur eman
walon ko chahaiye kay woh Allah per bharosa rakhen.
58.11 Aey musalmano! Jab tum say kaha jaye
kay majlison mein zara kushagi peda kero to tum jagah kushada
kerdo Allah tumhen kushadgi dey ga aur jab kaha jaye kay uth
kharay hojao to tum uth kharay hojao Allah Taalaa tum mein say
unn logon kay jo eman laye hain aur jo ilm diye gaye hain darjay
buland ker dey ga aur Allah Taalaa (her uss kaam say) jo tum
ker rahey ho (khoob) khabardaar hai.
58.12 Aey musalmano! Jab tum rasool (PBUH)
sau sirgoshi kerna chahao to apni sirgoshi say pehlay kuch sadqa
dey diya kero yeh tumharay haq mein behtar hai haan agar na
pao to be-shak Allah Taalaa bakshney wala meharban hai.
58.13 Kiya tum apni sirgoshi say pehlay sadqa
nikalney say darr gaye? Pus jab tum ney na kiya aur Allah Taalaa
ney bhi tumhen moaf farma diya to abb (ba khoobi) namazon ko
qaeem rakho zakat detay raha kero aur Allah Taalaa ki aur uss
kay rasool ki tabey daari kertay raho iss (sab) say Allah (khoob)
khabardaar hai.
58.14 Kiya tu ney unn logon ko nahi dekha?
Jinhon ney uss qom say dosti ki jin per Allah ghazab naak ho
chuka hai na yeh (munafiq) tumharay hi hain na unn kay hain
ba wajood ilm kay phir bhi jhoot per qasmen kha rahey hain.
58.15 Allah Taalaa ney inn kay liye sakht azab
tayyar ker rakha hai tehqeeq yeh jo kuch ker rahey hain bura
ker rahey hain.
58.16 Inn logon ney to apni qasmon ko dhaal
bana rakha hai aur logon ko Allah ki raah say roktay hain inn
kay liye ruswa kerney wala azab hai.
58.17 Inn kay maal aur inn ki aulad Allah kay
haan inn kay kuch kaam na aayen gi. Yeh to jahannumi hain hamesha
hi iss mein rahen gay.
58.18 Jiss din Allah Taalaa inn sab ko utha
khara keray ga to yeh jiss tarah tumharay samney qasmen khatay
hain (Allah Taalaa) kay samney bhi qasmen khaney lagen gay aur
samjhen gay kay woh bhi kissi (daleel) per hain yaqeen mano
kay be-shak wohi jhootay hain.
58.19 Inn per shetan ney ghalba hasil ker liya
hai aur enhen Allah ka zikar bhula diya hai yeh shetani lashkar
hai koi shak nahi kay shetani lashkar hi khasaray wala hai.
58.20 Be-shak Allah Taalaa ki aur uss kay rasool
ki jo log mukhalifat kertay hain wohi log sab say ziyada zaleelon
main hain.
58.21 Allah Taalaa likh chuka hai kay be-shak
mein aur meray payghumbar rahen gay. Yaqeenan Allah Taalaa zor
aawar aur ghalib hai.
58.22 Allah Taalaa per aur qayamat kay din
per eman rakhney walon ko aap Allah aur uss kay rasool ki mukhalifat
kerney walon say mohabbat rakhtay huye hergiz na payen gay go
woh unn kay baap ya unn kay betay ya unn kay bhai ya unn kay
kunbay (qabeelay) kay (aziz) hi kiyon na hon. Yehi log hain
jin kay dilon mein Allah Taalaa ney eman likh diya hai aur jin
ki taeed apni rooh say ki hai aur jinhen unn jannaton mein dakhil
keray ga jin kay neechay nehren beh rahi hain jahan yeh hamesha
rahen gay Allah inn say razi hai aur yeh Allah say khush hain
yeh khudaee lashkar hai aagah raho be-shak Allah kay giroh walay
hi kaamyaab log hain. |
| |
|
| |
|
| |