 |
|
| World's
First Roman Urdu Translation Quran Shareef |
| |
| Surat-Hashar
59 |
| (Sura-Hashar Makka mai Nazil
hui, is mai chobis (24) Aayatain hain) |
| |
59.01 Aasmanon
aur zamin ki her cheez Allah Taalaa ki paki biyan kerti hai
aur woh ghalib ba hikmat hai.
59.02 Wohi hai jiss ney ehal-e-kitab mein say
kafiron ko unn kay gharon say pehlay hashar kay waqt nikala
tumhara gumaan (bhi) na tha kay woh niklen gay aur woh khud
(bhi) samajh rahey thay kay unn kay (sangeen) qilay unhen Allah
(kay azab) say bacha len gay pus unn per Allah (ka azab) aisi
jagah say aa para kay unhen gumaan bhi na tha aur unn kay dilon
mein Allah ney rob daal diya aur apney gharon ko apney hi haathon
ujaar rahey thay aur musalmanon kay haathon (barbad kerwa rahey
thay) pus aey aankhon walo! Ibrat hasil kero.
59.03 Aur agar Allah Taalaa ney inn per jila
watni ko muqaddar na ker diya hota to yaqeenan enhen duniya
mein azab deta aur aakhirat mein (to) inn kay liye aag ka azab
hai hi.
59.04 Yeh iss liye kay enhon ney Allah Taalaa
ki aur uss kay rasool ki mukhalifat ki aur jo bhi Allah ki mukhalifat
keray ga to Allah Taalaa bhi sakht azab kerney wala hai.
59.05 Tum ney khujooron kay jo darakht kaat
dalay ya jinhen tum ney unn ki jaron mein baqi rehney diya.
Yeh sab Allah Taalaa kay farmaan say tha aur iss liye bhi kay
fasiqon ko Allah Taalaa ruswa keray.
59.06 Aur inn ka jo maal Allah Taalaa ney apney
rasool kay haath lagaya hai jiss per na to tum ney ghoray doraye
hain aur na oont bulkay Allah Taalaa apney rasool ko jiss per
chahaye ghalib ker deta hai aur Allah Taalaa her cheez per qadir
hai.
59.07 Bastiyon walon ka jo (maal) Allah Taalaa
tumharay laray bhiray baghair apney rasool kay haath lagaye
woh Allah ka hai aur rasool ka aur qarabat walon ka aur yateemon
miskeenon ka aur musafiron ka hai takay tumharay dolat mandon
kay haath mein hi yeh maal gardish kerta na reh jaye aur tumhen
jo kuch rasool dey ley lo aur jiss say rokay ruk jao aur Allah
Taalaa say dartay raha kero yaqeenan Allah Taalaa sakht azab
wala hai.
59.08 (fey kaa maal) unn mohajir miskeenon
kay liye hai jo apney gharon say aur apney maalon say nikal
diye gaye hain woh Allah kay fazal aur uss ki raza mandi kay
talabgaar hain aur Allah Taalaa ki aur uss kay rasool ki madad
kertay hain yehi raast baaz log hain.
59.09 Aur (unn kay liye) jinhon ney iss ghar
mein (yani madina) aur eman mein inn say pehlay jagah bana li
hai aur apni taraf hijrat ker kay aaney walon say mohabbat kertay
hain aur mohajireen ko jo kuch dey diya jaye iss say woh apney
dilon mein koi tangi nahi rakhtay bulkay khud apney upper enhen
tarjeeh detay hain go khud ko kitni hi sakht haajat ho (baat
yeh hai) kay jo bhi apney nafs kay bukhul say bachaya gaya wohi
kaamyaab (aur baa murad) hai.
59.10 Aur (unn kay liye) jo inn kay baad aayen
jo kahen gay kay aey huamray perwerdigar humen baksh dey aur
humaray unn bhaiyon ko bhi jo hum say pehlay eman laa chukay
hain aur eman daaron ki taraf say humaray dil mein keena (aur
dushmani) naa daal aey humaray rab be-shak tu shafqat aur meharbani
kerney wala hai.
59.11 Kiya tu ney munfiqon ko na dekha? Kay
apney ehal-e-kitab kafir bhaiyon say kehtay hain kay agar tum
jila watan kiye gaye to zaroor bil zaroor hum bhi tumharay sath
nikal kharay hongay aur tumharay baray mein hum kabhi bhi kissi
ki baat na maanen gay aur agar tum say jang ki jaye gi to ba
khuda hum tumhari madad keren gay lekin Allah Taalaa gawahi
deta hai kay yeh qata’an jhootay hain.
59.12 Agar woh jila watan kiye gaye to yeh
unn kay sath na jayen gay aur agar inn say jang ki gaee yeh
inn ki madad (bhi) na keren gay aur agar (bil farz) madad per
aa bhi gaye to peeth pher ker (bhaag kharay) hon gay phir madad
na kiye jayen gay.
59.13 (musalmano! Yaqeen mano) kay tumhari
heybat inn kay dilon mein ba nisbat Allah ki heybat kay boht
ziyada hai yeh iss liye kay yeh bey samajh log hain.
59.14 Yeh sab mill ker bhi tum say larr nahi
saktay haan yeh aur baat hai kay qila band muqamaat mein hon
ya deewaron ki aarh mein hon inn ki laraeeto inn mein aapas
mein hi boht sakht hai go aap enhen mutahid samajh rahey hain
lekin inn kay dil dar asal aik doosray say juda hain iss lie
kay yeh bey aqal log hain.
59.15 Unn logon ki tarah jo inn say kuch hi
pehlay guzray hain jinhon ney apney kaam ka wabal chakh liya
aur jin kay liye alam naak azab (tayyar) hai.
59.16 Shetan ki tarah kay uss ney insan say
kaha kufur ker jab woh kufur ker chuka to kehney laga mein to
tujh say bari hun mein to Allah rab-ul-aalameen say darta hun.
59.17 Pus dono ka anjam yeh hua kay aatish
(dozakh) mein hamesha kay liye gaye aur zalimon ki yehi saza
hai.
59.18 Aey eman walon! Allah say dartay raho
aur her shaks dekh (bhaal) ley kay kal (qayamat) kay wastay
uss ney (aemaal ka) kiya (zakheera) bheja hai. Aur (her waqt)
Allah say dartay raho Allah tumharay sab aemaal say ba khabar
hai.
59.19 Aur tum unn logon ki tarah mat ho jana
jinhon ney Allah (kay ehkaam) ko bhula diya to Allah ney bhi
unhen apni jano say ghafil ker diya aur aisay hi log na farmaan
(faasiq) hotay hain.
59.20 Ehal-e-naar aur ehal-e-jannat (ba hum)
barabar nahi. Jo ehal-e-jannat hain wohi kaamyaab hain (aur
jo ehal-e-naar hain woh na kaam hain).
59.21 Agar hum iss quran ko kissi pahar per
utartay to tu dekhta kay khof-e-elahee say woh pust ho ker tukray
tukray ho jata hum inn misalon ko logon kay samney biyan kertay
hain takay woh ghor-o-fiker keren.
59.22 Wohi Allah hai jiss kay siwa koi mabood
nahi chupay khulay ka jannay wala meharban aur reham kerney
wala.
59.23 Wohi Allah hai jiss kay siwa koi mabood
nahi badshah nihayat pak sab aeybon say saaf aman denay wala
nighehbaan ghalib zor aawar aur baraee wala pak hai Allah unn
cheezon say jinhen yeh uss ka shareek banatay hain.
59.24 Wohi Allah hai peda kerney wala wujood
bakshney wala soorat bananey wala ussi kay liye (nihayat) achay
naam hain her cheez khuwa woh aasman mein ho khuwa zamin mein
ho uss ki paki biyan kerti hai aur wohi ghalib hikmat wala hai. |
| |
|
| |
|
| |