 |
|
| World's
First Roman Urdu Translation Quran Shareef |
| |
| Surat-Mumtahina
60 |
| (Sura-Mumtahina Makka mai Nazil
hui, is mai tera (13) Aayatain hain) |
| |
60.01 Aey
woh logo jo eman laye ho! Meray aur (khud) apney dushmanon ko
apna dost na banao tum to dosti say unn ki taraf payghaam bhejtay
ho aur woh iss haq kay sath jo tumharay pass aa chuka hai kufur
kertay hain payghumbar ko aur khud tumhen bhi mehaz iss waja
say jila watan kertay hain kay tum apney rab per eman rakhtay
ho agar tum meri raah mein jihad kay liye aur meri raza mandi
ki talab mein nikaltay ho ( to inn say dostiyan na kero) tum
inn kay pass mohabbat ka paygham posheeda posheeda bhejtay ho
aur mujhay khoob maloom hai jo tum ney chupaya aur woh bhi jo
tum ney zahir kiya tum mein say jo bhi iss kaam ko keray ga
woh yaqeenan raah-e-raast say behak jaye ga.
60.02 Agar woh tum per kahin qaboo paa len
to woh tumharay (khulay) dushman ho jayen aur buraee kay sath
tum per dast darazi aur zaban darazi kerney lagen aur (dil say)
chahaney lagen kay tum bhi kufur kerney lagg jao.
60.03 Tumhari qarabaten rishtay dariyan aur
aulad tumhen qayamat kay din kaam na aayen gi Allah Taalaa tumharay
darmiyan faisla ker dey ga aur jo kuch tum ker rahey ho ussay
Allah khoob dekh raha hai.
60.04 (musalmano!) tumharay liye hazrat ibrahim
mein aur unn kay sathiyon mein behtareen namoona hai jabkay
unn sab ney apni qom say bar mala keh diya kay hum tum say aur
jin jin ki tum Allah kay siwa ibadat kertay ho unn sab say bilkul
bey zaar hain. Hum tumharay (aqaeed kay) munkir hain jab tak
tum Allah ki wahadaniyat per eman na lao hum mein tum mein hamesha
kay liye bughz-o-adawat zahir hogaee lekin ibrahim ki itni baat
apney baap say hui thi kay mein tumharay liye istaghfaar zaroor
keroon ga aur tumharay liye mujhay Allah kay samney kissi cheez
ka ikhtiyar kuch bhi nahi. Aey humaray perwerdigar tujhi per
hum ney bharosa kiya hai aur teri hi taraf rujoo kertay hain
aur teri hi tarf lotna hai.
60.05 Aey humaray rab! Tu humen kafiron ki
aazmaeesh mein na daal aur aey humaray paalney walay humari
khataon ko bakhsh dey be-shak tu hi ghalib hikmat wala hai.
60.06 Yaqeenan tumharay liye inn mein acha
namoona (aur umdah pairwi hai khaas ker) her uss shaks kay liye
jo Allah ki aur qayamat kay din ki mulaqat ki umeed rakhta ho
aur agar koi roo gardani keray to Allah Taalaa bilkul bey niaz
hai aur saza waar hamd-o-sana hai.
60.07 Kiya ajab hai kay un qarib hi Allah Taalaa
tum mein aur tumharay dushmanon mein mohabbat peda ker dey.
Allah ko sab qudraten hain aur Allah (bara) ghafoor raheem hai.
60.08 Jin logon ney tum say deen kay baray
mein laraee nahi lari aur tumhen jila watan nahi kiya unn kay
sath salook-o-ehsan kerney aur munsifana bhalay bartao kerney
say Allah Taalaa tumhen nahi rokta bulkay Allah Taalaa to insaf
kerney walon say mohabbat kerta hai.
60.09 Allah Taalaa tumhen sirf unn logon ki
mohabbat say rokta hai jinhon ney tum say deen kay baray mein
laraiyan laren aur tumhen des nikalay diye aur des nikala denay
walon ki madad ki jo log aisay kuffaar say mohabbat keren woh
(qata’an) zalim hain.
60.10 Aey eman walo! Jab tumharay pass momin
aurten hijrat ker kay aayen to tum unn ka imtehan lo. Dar asal
unn kay eman ko ba khoobi janney wala to Allah hi hai lekin
agar woh tumhen eman waliyan maloom hon to abb tum enhen kafiron
ki taraf wapis na kero yeh unn kay liye halal nahi na woh inn
kay liye halal hain aur jo kharach inn kafiron ka hua ho woh
unhen ada kerdo inn aurton ko unn kay mehar dey ker inn say
nikkah ker lenay mein tum per koi gunah nahi aur kafir aurton
ki namoos apney qabzay mein na rakho aur jo kuch tum ney kharach
kiya ho maang lo aur jo kuch inn kafiron ney kharach kiya ho
woh bhi maang len yeh Allah ka faisla hai jo tumharay darmiyan
ker raha hai Allah Taalaa baray ilm (aur) hikmat wala hai.
60.11 Aur agar tumhari koi biwi tumharay haath
say nikal jaye aur kafiron kay pass chali jaye phir tumhen iss
kay badlay ka waqt mill jaye to jin ki biwiyan chali gaeen hain
unhen unn kay ikhrajaat kay barabar ada kerdo aur uss Allah
Taalaa say dartay rahi jiss per tum eman rakhtay ho.
60.12 Aey payghumbar! Jab musalman aurten aap
say inn baaton per bait kerney aayen kay woh Allah kay sath
kissi ko shareek na keren gi chori na keren gi zina kaari na
keren gi apni aulad ko naa maar dalen gi aur koi aisa bohtaan
na bandhay gi jo khud apney haathon pairon kay sath gharr len
aur kissi nek kaam mein teri bey hukmi na keren gi to aap inn
say bait ker liya keren aur inn kay liye Allah say maghfirat
talab keren be-shak Allah bakshney aur moaf kerney wala hai.
60.13 Aey musalmano! Tum uss qom say dosti
na rakho jin per Allah ka ghazab nazil ho chuka hai jo aakhirat
say iss tarah mayyus ho chukay hain jaisay kay murda ehal-e-qabar
say kafir na umeed hain. |
| |
|
| |
|
| |