 |
|
| World's
First Roman Urdu Translation Quran Shareef |
| |
| Surat-Saff
61 |
| (Sura-Saff Makka mai Nazil
hui, is mai chodha (14) Aayatain hain) |
| |
61.01 Zamin-o-aasman
ki her her cheez Allah Taalaa ki paki biyan kerti hai aur wohi
ghalib hikmat wala hai.
61.02 Aey eman walo! Tum woh baat kiyon kehtay
ho jo kertay nahi.
61.03 Tum jo kertay nahi uss ka kehna Allah
Taalaa ko sakht na pasand hai.
61.04 Be-shak Allah Taalaa unn logon say mohabbat
kerta hai jo uss ki raah mein saff basta jihad kertay hain goya
woh seesa pilaee hui emaarat hain.
61.05 Aur (yaad kero) jabkay musa ney apni
qom say kaha aey meri qom kay logo! Tum mujhay kiyon sata rahey
ho halankay tumhen (ba khoobi) maloom hai kay mein tumhari janib
Allah ka rasool hun pus jab woh log tairhay hi rahey to Allah
ney unn kay dilon ko (aur) tairhaa ker diya aur Allah Taalaa
na farman qom ko hidayat nahi deta.
61.06 Aur jab marium kay betay essa ney kaha
aey (meri qom) bani israeel! Mein tum sab ki taraf Allah ka
rasool hun mujh say pehlay ki kitab toraat ki mein tasdeeq kerney
wala hun aur apney baad aaney walay aik rasool ki mein tumhen
khushkhabri sunaney wala hun jin ka naam ahmed hai phir jab
woh unn kay pass khuli daleelen laye to yeh kehney lagay yeh
to khula jadoo hai.
61.07 Uss shaks say ziyada zalim aur kaun hoga
jo Allah per jhoot (iftra) bandhay halankay woh islam ki taraf
bulaya jata hai aur Allah aisay zalimon ko hidayat nahi kerta.
61.08 Woh chahtay hain kay Allah kay noor ko
apney mun say bujha den aur Allah apney noor ko kamal tak phonchaney
wala hai go kafir bura manen.
61.09 Wohi hai jiss ney apney rasool ko hidayat
aur sacha deen dey ker bheja takay ussay aur tamam mazaahib
per ghalib ker dey agar cheh mushrikeen na khush hon.
61.10 Aey eman walo! Kiya mein tumhen woh tijarat
batla doon jo tumhen dard naak azab say bacha ley?
61.11 Allah Taalaa per aur uss kay rasool per
eman lao aur Allah ki raah mein apney maal aur apni jaanon say
jihad kero. Yeh tumharay liye behtar hai agar tum mein ilm ho.
61.12 Allah Taalaa tumharay gunah moaf farma
dey ga aur tumhen unn jannaton mein dakhil keray ga jin kay
neechay nehren jari hongi aur saaf suthray gharon mein jo jannat
adan mein hon gay yeh boht bari kaamyabi hai.
61.13 Aur tumhen aik doosri (nemat) bhi dey
ga jisay tum chahtay ho woh Allah ki madad aur jald fatah yaabi
hai eman walon ko khushkhabri dey do.
61.14 Aey eman walo! Tum Allah key madadgar
bann jao. Jiss tarah hazrat marium kay betay hazrat essa ney
hawariyon say farmaya kay kaun hai jo Allah ki raah mein mera
madadgar baney? Hawariyon ney kaha hum Allah ki raah mein madadgar
hain pus bani israeel mein say aik jamat to eman laee aur aik
jamat ney kufur kiya tum hum ney mominon ki unn kay dushman
kay muqabley mein madad ki pus woh ghalib aagaye. |
| |
|
| |
|
| |