 |
|
| World's
First Roman Urdu Translation Quran Shareef |
| |
| Surat-Jumaa
62 |
| (Sura-Jumaa Makka mai Nazil
hui, is mai gyara (11) Aayatain hain) |
| |
62.01 (saari
cheezen) jo aasmanon aur zamin mein hain Allah Taalaa ki paki
biyan kerti hain (jo) badshah nihayat pak (hai) ghalib-o-ba
hikmat.
62.02 Wohi hai jiss ney na khuanda logon mein
inn hi mein say aik rasool bheja jo enhen uss ki aayaten parh
ker sunata hai aur inn ko pak kerta hai aur enhen kitab-o-hikmat
sikhata hai. Yaqeenan yeh iss say pehlay khuli gumrahi mein
thay.
62.03 Aur doosron kay liye bhi unhi mein say
jo abb tak inn say nahi milay aur wohi ghalib ba hikmat hai.
62.04 Yeh Allah ka fazal hai jissay chahaye
apna fazal dey aur Allah Taalaa boht baray fazal ka maalik hai.
62.05 Jin logon ko toraat per amal kerney ka
hukum diya gaya phir unhon ney uss per amal nahi kiya unn ki
misal uss gadhay ki say hai jo boht si kitaben laaday ho. Allah
ki baaton ko jhutlaney walon ki bari buri misal hai aur Allah
(aisay) zalim qom ko hidayat nahi deta.
62.06 Keh dijiye kay aey yahudiyo! Agar tumhara
daawa hai kay tum Allah kay dost ho doosray logon kay siwa to
tum maut ki tamanna kero agar tum sachay ho.
62.07 Yeh kabhi bhi maut ki tamanna na keren
gay ba waja unn aemaal kay jo apney aagay apney haathon bhej
rakhay hain aur Allah zalimon ko khoob janta hai.
62.08 Keh dijiye kay jiss maut say tum bhagtay
phirtay ho woh to tumhen phonch ker rahey gi pohir tum sab chupay
khulay kay jannay walay (Allah) ki taraf lotaye jao gay aur
woh tumhen tumharay kiye huye tamam kaam batla dey ga.
62.09 Aey woh logo jo eman laye ho! Jummay
kay din namaz ki azan di jaye to tum Allah kay ziker kay taraf
dor paro aur khareed-o-farokht chor do. Yeh tumharay haq mein
boht hi behtar hai agar tum jantay ho.
62.10 Phir jab namaz ho chukay to zamin mein
phel jao aur Allah ka fazal talash kero takay tum falah paa
lo.
62.11 Aur jab koi soda biktay dekhen ya koi
tamasha nazar aajaye to uss ki taraf dortay jatay hain aur aap
ko khara hi chor detay hain aap keh dijiye kay Allah kay pass
jo hai woh khel aur tijarat say behtar hai. Aur Allah Taalaa
behtareen rozi rasan hai. |
| |
|
| |
|
| |