 |
|
| World's
First Roman Urdu Translation Quran Shareef |
| |
| Surat-Munafiqoon
63 |
| (Sura-Munafiqoon Makka mai
Nazil hui, is mai gyara (11) Aayatain hain) |
| |
63.01 Tumharay
pass jab munafiq aatay hain to kehtay hain kay hum iss baat
kay gawah hain kay be-shak aap Allah kay rasool hain aur Allah
janta hai yaqeenan aap uss kay rasool hain aur Allah gawahi
deta hai kay yeh munafiq qata’an jhootay hain.
63.02 Enhon ney apni qasmon ko dhaal bana rakha
hai pus Allah ki raah say ruk gaye be-shak bura hai woh kaam
jo yeh ker rahey hain.
63.03 Yeh iss sabab say hai kay yeh eman laa
ker phir kafir hogaye pus inn kay dilon per mohar ker di gaee
abb yeh nahi samajhtay.
63.04 Jab aap enhen dekh len to inn kay jism
aap ko khushnuma maloom hon yeh jab baaten kerney lagen to aap
inn ki baaton per (apna) kaan lagayen goya kay yeh lakriyan
hain deewar kay shaharay lagee huin her (sakht) aawaz ko apney
khilaf samajhtay hain yehi haqeeqi dushman hain inn say bacho
Allah enhen ghaarat keray kahan say phiray jatay hain.
63.05 Aur jab inn say kaha jata hai aao tumharay
liye Allah kay rasool istaghfaar keren to apney sir matkatay
hain aur aap dekhen gay kay woh takabbur kertay huye ruk jatay
hain.
63.06 Inn kay haq mein aap ka istaghfaar kerna
aur na kerna dono barabar hai Allah Taalaa enhen hergiz na bakshay
ga be-shak Allah Taalaa (aisay) na farmaan logon ko hidayat
nahi deta.
63.07 Yehi woh log hain jo kehtay hain kay
jo log rasool-lullah kay pass hain unn per kuch kharach na kero
yahan tak kay woh idhar udhar ho jayen aur aasman-o-zamin kay
kul khazaney Allah Taalaa ki milkiyat hain lekin yeh munfiq
bey samajh hain.
63.08 Yeh kehtay hain kay agar hum abb lot
ker madina jayen gay to izzat wala wahan say zillat walay ko
nikal dey ga. Suno! Izzat to sirf Allah Taalaa kay liye aur
uss kay rasool kay liye aur eman daaron kay liye hai lekin yeh
munafiq jantay nahi.
63.09 Aey musalmano! Tumharay maal aur tumhari
auladen tumhen Allah kay ziker say ghafil na ker den aur jo
aisa keren woh baray hi ziyan kaar log hain.
63.10 Aur jo kuch hum ney tumhen dey rakha
hai uss mein say (humari raah mein) iss say pehaly kharach kero
kay tum mein say kissi ko maut aajaye to kehney lagay aey meray
perwerdigar! Mujhay to thori dare ki mohlat kiyon nahi deta?
Kay mein sadqa keroon aur nek logon mein say ho jaon.
63.11 Aur jab kissi ka muqarrar waqt aajata
hai phir ussay Allah Taalaa hergiz mohlat nahi deta aur jo kuch
tum kertay ho uss say Allah Taalaa bakhoobi ba khabar hai. |
| |
|
| |
|
| |