 |
|
| World's
First Roman Urdu Translation Quran Shareef |
| |
| Surat-Taghabunn
64 |
| (Sura-Taghabunn Makka mai Nazil
hui, is mai atthara (18) Aayatain hain) |
| |
64.01 Tamam
cheez jo aasmanon aur zamin mein hain Allah ki paki biyan kerti
hain ussi ki saltanat hai aur ussi ki tareef hai aur woh her
her cheez per qadir hai.
64.02 Ussi ney tumhen peda kiya hai so tum
mein say baazay to kafir hain aur baaz eman walay hain aur jo
kuch tum ker rahey ho Allah Taalaa khoob dekh raha hai.
64.03 Ussi ney aasmanon ko aur zamin ko adal-o-himat
say peda kiya ussi ney tumhari sooraten banaeen aur boht achi
banaeen aur ussi ki taraf lotna hai.
64.04 Woh aasman-o-zamin ki her her cheez ka
ilm rakhta hai aur jo kuch tum chupao aur jo zahir kero woh
(sab ko) janta hai. Allah to seenon ki baaton tak ko jannay
wala hai.
64.05 Kiya tumharay pass iss say pehlay kay
kafiron ki khabar nahi phonchi? Jinhon ney apney aemaal ka wabaal
chakh liya aur jin kay liye dard naak azab hai.
64.06 Yeh iss liey kay unn kay pass unn kay
rasool wazeh dalaeel ley ker aaye to unhon ney keh diya kay
kiya insan humari rehnumaee keray ga? Pus inkar ker diya aur
mun pher liya aur Allah ney bhi bey niazi ki aur Allah to hi
boht bey niaz sab khoobiyon wala.
64.07 Inn kafiron ney khayal kiya hai kay doobara
zinda na kiye jayen gay aap key dijiye kay kiyon nahi Allah
ki qasam! Tum zaroor doobara uthaye jao gay phir jo tum ney
kiya hai uss ki khabar diye jaogay aur Allah per yeh bilkul
aasan hai.
64.08 So tum Allah per aur uss kay rasool per
aur uss noor per jissay hum ney nazil farmaya hai eman laao
aur Allah Taalaa tumharay her amal per ba-khabar hai.
64.09 Jiss din tum sab ko uss jama honey kay
din jama keray ga wohi din hai haar jeet ka aur jo shaks Allah
per eman laa ker nek amal keray Allah uss say uss ki buraiyan
door ker dey ga aur ussay jannaton mein dakhil keray ga jin
kay neechay nehren beh rahi hain jin mein woh hamesha hamesha
rahen gay. Yehi boht bari kaamyabi hai.
64.10 Aur jin logon ney kufur kiya aur humari
aayaton ko jhutlaya wohi (sab) jahannumi hain (jo) jahannum
mein hamesha rahen gay woh boht bura thikana hai.
64.11 Koi museebat Allah ki ijazat kay baghair
nahi phonch sakti jo Allah per eman laye Allah uss kay dil ko
hidayat deta hai aur Allah her cheez ko khoob jannay wala hai.
64.12 (logo) Allah ka kehna mano aur rasool
ka kehna mano. Pus agar tum aeyraaz kero to humaray rasool kay
zimmay sirf saaf saaf phoncha dena hai.
64.13 Allah kay siwa koi mabood-e-bar haq nahi
aur mominon ko Allah hi per tawakkal rakhna chahaiye.
64.14 Aey eman walo! Tumhari baaz biwiyan aur
baaz bachay tumharay dushman hain pus inn say hoshiyaar rehna
aur agar tum moaf kerdo aur dar-guzar ker jao aur bakhsh do
to Allah Taalaa baskshney wala meharban hai.
64.15 Tumharay maal aur aulad to sirasir tumahri
aazmaeesh hain aur boht bara ajar Allah kay pass hai.
64.16 Pus jahan tak tum say ho sakay Allah
say dartay raho aur suntay aur maantay chalay jao aur Allah
ki raah mein kheyraat kertay raho jo tumhara liye behtar hai
aur jo shaks apney nafs ki hirss say mehfooz rakha jaye wohi
kaamyab hai.
64.17 Agar tum Allah ko acha qarz do gay (yani
uss ki raah mein kharach kero gay) to woh ussay tumharay liye
barhata jaye ga aur tumharay gunah bhi moaf farma dey ga Allah
bara qadar daan bara burd baar hai.
64.18 Woh posheeda aur zahir ka jannay wala
hai zabardast hikmat wala (hai). |
| |
|
| |
|
| |