 |
|
| World's
First Roman Urdu Translation Quran Shareef |
| |
| Surat-Tallaq
65 |
| (Sura-Tallaq Makka mai Nazil
hui, is mai bara (12) Aayatain hain) |
| |
65.01 Aey
nabi! (apni ummat say kaho kay) jab tum apni biwiyon ko tallaq
dena chahao to unn ki iddat (kay dino kay aaghaaz) mein unhen
tallaq do aur iddat ka hisab rakho aur Allah say jo tumhara
perwerdigar hai dartay raho na tum enhen inn kay gharon say
nikalo aur na woh (khud) niklen haan yeh aur baat hai kay woh
khuli buraee ker bethen yeh Allah ki muqarrar kerda hadden hain
jo shaks Allah ki haddon say aagay barh jaye uss ney yaqeenan
apney upper zulm kiya tum nahi jantay shayad iss kay baad Allah
Taalaa koi naee baat peda ker dey.
65.02 Pus jab yen aurten apni iddat poori kerney
kay qarib phonch jayen to unhen ya to qaeeday kay mutabiq apney
nikkah mein rehney do ya dastoor kay mutabiq enhen alag kerdo
aur aapas mein do aadil shakson ko gawah kerlo aur Allah ki
raza mandi kay liye theek theek gawahi do. Yehi hai woh jiss
ki naseehat ussay ki jati hai jo Allah per aur qayamat kay din
per eman rakhta ho aur jo shaks Allah say darta hai Allah uss
kay liye chutkaray ki shakal nikal deta hai.
65.03 Aur ussay aisi jagah say rozi deta hai
jiss ka ussay guman bhi na ho aur jo shaks Allah per tawakkal
keray ga Allah ussay kafi hoga. Allah Taalaa apna kaam poora
ker kay hi rahey ga. Allah Taalaa ney her cheez ka aik andaza
muqarrar ker rakha hai.
65.04 Tumhari aurton mein say jo aurten hez
say na umeed ho gaee hon agar tumhen shuba ho to unn ki muddat
teen maheeney hai aur unn ki bhi jinhen hez aana shuroo hi na
hua ho aur hamila aurton ki iddat unn kay waza-e-hamal hai aur
jo shaks Allah Taalaa say daray ga Allah uss kay (her) kaam
mein aasani ker dey ga.
65.05 Yeh Allah ka hukum hai jo uss ney tumhari
taraf utara hai aur jo shaks Allah say daray ga Allah uss kay
gunah mita dey ga aur ussay bara bhari ajar dey ga.
65.06 Tum apni taqat kay mutabiq jahan tum
rehtay ho wahan inn (tallaq wali) aurton ko rakho aur enhen
tang kerney kay liye takleef na phonchao aur agar woh hamal
say hon to jab tak bacha peda ho lay enhen kharach detay raha
kero phir agar tumharay kehney say wohi doodh pilayen to tum
enehn inn ki ujrat dey do aur ba-hum munasib tor per mashwara
ker liya kero aur agar tum aapas mein kash-ma-kash kero to iss
kay kehney say koi aur doodh pilaye gi.
65.07 Kushadgi walay ko apni kushadgi say kharach
kerna chahaiye aur jiss per uss kay rizq ki tangi ki gaee ho
ussay chahaiye kay jo kuch Allah ney ussay dey rakha hai ussi
mein say (apni hasb-e-heysiyat) dey kissi shaks ko Allah takleef
nahi deta magar utni hi jitni taqat ussay dey rakhi hai Allah
tangi kay baad aasani aur faraghat bhi ker dey ga.
65.08 Aur boht si basti walon ney apney rab
kay hukum say aur uss kay rasoolon say sir taabi ki aur hum
ney bhi unn say sakht hisab kiya aur unhen azab diya unn dekha
(sakht) azab.
65.09 Pus unhon ney apney kartoot ka maza chakh
liya aur anjam kaar unn ka khasara hi hua.
65.10 Unn kay liye Allah Taalaa ney sakht azab
tayyar ker rakha hai pus Allah say daro aey aqal mand eman walo.
Yaqeenan Allah ney tumhari taraf naseehar utaar di hai.
65.11 (yani) rasool jo tumhen Allah kay saaf
saaf ehkaam parh sunata hai takay unn logon ko jo eman layen
aur nek amal keren woh tareekiyon say roshni ki taraf ley aaye
aur jo shaks Allah per eman laye aur nek amal keray Allay ussay
aisi jannaton mein dakhil keray ga jiss kay neechay nehren jari
hain jin mein yeh hamesha hamesha rahen gay. Be-shak Allah ney
ussay behtareen rozi dey rakhi hai.
65.12 Allah woh hai jiss ney saat aasaman banaye
aur issi kay misil zaminen bhi. Iss ka hukum inn kay darmiyan
utarta hai takay tum jaan lo kay Allah her cheez per qadir hai
aur Allah Taalaa ney her cheez ko ba-aetbaar ilm gher rakha
hai. |
| |
|
| |
|
| |