 |
|
| World's
First Roman Urdu Translation Quran Shareef |
| |
| Surat-Tehreem
66 |
| (Sura-Tehreem Makka mai Nazil
hui, is mai bara (12) Aayatain hain) |
| |
66.01 Aey
nabi! Ji ss cheez ko Allah ney aap kay liye halal ker diya hai
ussay aap kiyon haram kertay hain? (Kiya) aap apni biwiyon ki
raza mandi hasil kerna chahatay hain aur Allah bakhshney wala
reham kerney wala hai.
66.02 Tehqeeq kay Allah Taalaa ney tumharay
liye qasmon ka khol daalna muqarrar ker diya hai aur Allah Taalaa
tumhara kaar saaz hai aur wohi (pooray) ilm wala hikmat wala
hai.
66.03 Aur yaad ker jab nabi ney apni baaz aurton
say aik posheeda baat kahi pus jab uss ney uss baat ki khabar
ker di aur Allah ney apney nabi ko iss per aagah ker diya to
nabi ney thori si baat to bata di aur thori si taal gaye phir
jab nabi ney apni biwi ko yeh baat bataee to woh kehnay lagi
iss ki khabar aap ko kiss ney di. Kaha sab jannay walay poori
khabar rakhney walay Allah ney mujhay yeh batlaya hai.
66.04 (aey nabi ki dono biwiyo!) agar tum dono
Allah kay samney tauba kerlo (to boht behtar hai) yaqeenan tumharay
dil jhuk paren hain aur agar tum nabi kay khilaf aik doosray
ki madad kero gi pus yaqeenan uss ka kaar saaz Allah hai aur
jibraeel hain aur nek ehal-e-eman aur inn kay ilawa farishtay
bhi madad kerney walay hain.
66.05 Agar (woh) payghumbar tumhen tallaq dey
den to boht jald enhen inn ka rab! Tumharay badlay tum say behtar
biwiyan inayat farmaye ga jo islam waliyan eman waliyan tauba
kerney waliyan ibadat baja laaney waliyan rozay rakhney waliyan
hongi baiwa aur kanwariyan.
66.06 Aey eman walo! Tum apney aap ko aur apney
ghar walon ko uss aag say bachao jiss ka endhan insan hain aur
pathar jiss per sakht dil mazboot farishtay muqarrar hain jinhen
jo hukum Allah Taalaa deta hai uss ki na farmani nahi kertay
bulkay jo hukum diya jaye baja laatay hain.
66.07 Aey kafiro! Aaj tum uzur aur bahana mat
kero. Tumhen sirf tumharay kartoot ka badla diya jaraha hai.
66.08 Aey eman walo! Tum Allah kay samney sachi
khalis tauba kero. Qareeb hai kay tumhara rab tumharay gunah
door kerday aur tumhen aisi jannaton mein dakhil keray jin kay
neechay nehren jari hain. Jiss din Allah Taalaa nabi ko aur
eman daron ko jo inn kay sath hain ruswa na keray ga. Inn ka
noor inn kay samney aur inn kay dayen dor raha hoga. Yeh duayen
kertay hongay aey humaray rab humen kaamil noor ata farma aur
humen bakhsh dey yaqeenan tu her cheez per qadir hai.
66.09 Aey nabi! Kafiron aur munafiqon say jihad
kero aur inn per sakhti kero inn kay thikana jahannum hai aur
woh boht buri jagah hai.
66.10 Allah Taalaa ney kafiron kay liye nooh
ki aur loot ki biwi ki misal biyan farmaee yeh dono humaray
bandon mein say do (shaista aur) nek bandon kay ghar mein thin
phir unn ki enhon ney khayanat ki pus woh dono (nek banday)
inn say Allah kay (kissi azab ko) na rok sakay aur hukum dey
diya gaya (aey aurton) dozakh mein janey walon kay sath tum
dono bhi chali jao.
66.11 Aur Allah Taalaa ney eman walon kay liye
firaon ki biwi ki misal biyan farmaee jabkay uss ney dua ki
aey meray rab! Meray liye apney pass jannat mein muqam bana
aur mujhay firaon say aur uss kay amal say bacha aur mujhay
zalim logon say khulasi dey.
66.12 Aur (misal biyan farmaee) marium bint-e-imran
ki jiss ney apney namoos ki hifazat ki phir hum ney apni taraf
say uss mein jaan phook di aur (marium) uss ney apney rab ki
baaton aur uss ki kitabon ki tasdeeq ki aur ibadat guzaron mein
say thi. |
| |
|
| |
|
| |