 |
|
| World's
First Roman Urdu Translation Quran Shareef |
| Surat-Mulk
67 |
| (Sura-Mulk Makka
mai Nazil hui, is mai tees (30) Aayatain hain) |
| |
67.01 Boht
babarkat hai woh (Allah) jiss kay hath mein badshaee
hai aur jo her cheez per qudrat rakhnay wala hai.
67.02 Jiss nay mot aur hayat
ko iss liye peda kiya kay tumhen aazmaye kay tum
mein say achay kaam kon kerta hai aur woh ghalib
(aur) bakhshnay wala hai. 67.03
Jiss ney saat aasman uper talay banaye (to aey dekhnay
walay) Allah Rehman ki pedaish mein koi bey-zaabtagi
na dekhay ga. 67.04
Doobara (nazren daal ker) dekhley kiya koi shigaaf
bhi nazar aaraha hai. 67.05
Phir dohra ker do do baar dekhley teri nigah teri
taraf zalil(o-aajiz) hoker thaki hui lot aayegi.Be-shak
hum ney aasman duniya ko chiraghon (sitaron) say
aarasta kiya aur enehn shetanon kay maarnay ka zariya
banadiya aur shetanon kay liye hum ney (dozakh ka
jalanay wala) azab tayyar kerdiya.
67.06 Aur apnay rab kay sath kafur
kernay walon kay liye jahannum ka azab hai aur woh
kiya hi buri jagah hai. 67.07
Jab iss mein yeh daaley jayengey to iss ki baray
zor ki aawazen sunen gey aur woh josh maar rahi
hogi. 67.08 Qareeb
hai kay (abhi) gussay kay maaray phat jaye jab kabhi
iss mein koi giroh dala jayega uss say jahannum
kay daroghay poochen gey kay kiya tumharay pass
daranay wala koi nahi aaya tha? 67.09
Woh jawab dengey kay be-shak aaya tha lekin hum
ney ussay jhutlaya aur hum ney kaha kay Allah taalaa
ney kuch bhi naazil nahi farmaya tum boht bari gumrahi
mein hi ho. 67.10
Aur kahen gey kay agar hum suntay hotay ya aqal
rakhtay hotay to dozakhiyon mein (shareek) na hotay.
67.11 Pus unho ney apney
jurum ka iqbal kerlia abb yeh dozakhi dafa hon (door
hon). 67.12 Be-shak
jo log apnay perwerdigaar say ghaeebana tor per
dartay rehtay hain unkay liye bakhhsish hai aur
bara sawab hai. 67.13
Tum apni baton ko chupao ya zahir kero woh to seenon
ki posheedgiyon ko bhi bakhoobi jaanta hai.
67.14 Kiya wohi na janay
jiss nay peda kiya? phir woh bareek been aur bakhabar
bhi ho. 67.15 Woh
zaat jiss ney tumharay liye zamin ko past-o-mutee
kerdia takay tum uss ki raahon mein chaltay phirtay
raho aur Allah ki roziyan khao (piyo) ussi ki taraf
(tumhen) ji ker uth khara hona hai.
67.16 Kiya tum iss baat say bey
khof hogaye ho kay aasmanon wala tumhen zamin mein
dhansa dey aur achanak zamin laraznay lagay.
67.17 Ya kiya tum iss baat
say nadar hogaye ho kay aasmanon wala tum per pathar
barsa dey? Phir to tumhen maloom ho hi jayega kay
mera darna kaisa tha. 67.18
Aur inn say pehlay logon ney bhi jhutlaya tha to
dekho inn per mera azab kaisa kuch hua?
67.19 Kiya yeh apnay uper per kholay
huye aur (kabhi kabhi) sametay huye(urnay walay)
parindon ko nahi dekhtay enhen (Allah) Rehman hi
(hawa-o-faza mein) thaamay huye hai. be-shak her
cheez uski nigah mein hai. 67.20
Siwaye Allah kay tumhara woh konsa lashkar hai jo
tumhari madad kersakay kafir to sarasar dhokay hi
mein hain. 67.21 Agar
Allah taalaa apni rozi rok ley to batao kon hai
jo phir tumhen rozi dey ga? bulkay (kafir) to sirkashi
aur bidaknay per arr gaye hain. 67.22
Acha woh shaks zada hidayat wala hai jo apnay mun
kay bal ondha hoker chalay ya woh jo seedha (peron
kay bal) raah-e-raast per chala ho?
67.23 kehdijiye kay wohi (Allah)
ahi jiss ney tumhen peda aur tumharay kaan aackhen
aur dil banaye tum boht hi kum shukerguzari kertay
ho. 67.24 Kehdijiye!
kay wohi hai jiss ney tumhen zamin mein pehla diya
aur usski taraf tum ikhattay kiye jaogey.
67.25 (Kafir) poochtay hain
kay woh wada kab zahir hoga agar tum sachay ho (to
batao?) 67.26 Aap
kehdijiye kay iss ka ilm to Allah hi ko hai mein
to sirf khulay tor per aagah kerdenay wala hon.
67.27 Jab yeh log iss waday
ko qareeb tar paalen gey uss waqt unn kafiron kay
chehray bigar jayen gey aur kehdia jayega kay yehi
hai jissay tum talab kiya kertay thay.
67.28 Aap kehdijiye acha agar mujhay
aur meray saathiyonko Allah taalaa halak kerdey
ya hum per reham keray (bahar sooratyeh to batao)
kay kafirron ko dardnaak azab say kon bachaye ga?
67.29 Aap kehdijiye! kay
wohi Rehman hai hum to iss per emaan la chukay aur
issi per humara bharosa hai tumhenunqareeb maloom
hojayega kay sareeh gumrahee mein kon hai?
67.30 Aap keh dijiye !kay
acha yeh to batao kay agar tumharay (peenay ka)
paani zamin mein utar jaye to kon hai jo tumharay
liye nithra hua paani laye? |
| |