 |
|
| World's
First Roman Urdu Translation Quran Shareef |
| |
| Surat-Qalam
68 |
| (Sura-Qalam Makka mai Nazil
hui, is mai bawan (52) Aayatain hain) |
| |
68.01Noon
qasam hai qalam ki aur uss ki jo kuch kay who (farishtay)
likhtay hain.
68.02 Tu apany rab kay fazal say deewana
nhai hai.
68.03 Aur be-shak teray liye bey inteha ajar
hai.
68.04 Aur be-shak tu both baray (umda) ikhlaq
per hai.
68.05 Pus abb tub hi dekhlega aur yeh bhi
dekh len gay.
68.06 Kay tum main say kon fitnay mein pera
hua hai.
68.07 Be-shak tera rab apni raah say behaknay
walon ko khoob jaanta hai aur wohraah yafta logon ko tu bakhoobi
jaanta hai.
68.08 Pus to jhutlanay walon kin a maan.
68.09 who to chahtay hain kay tu zara dheela
ho to yeh bhi dheelay par jayen.
68.10 Aur tu kissi aisay shaks ka bhi kaha
na manna jo ziyada qasmen khanay wala.
68.11 Beywaqar’ qammena aibgo chughalkhor.
68.12 Bhalaee say roknay wala had say barh
janay wala gunehgaar.
68.13 Gardan kash phir sath hi beynasab ho.
68.14 Usski sirkashi sirf iss liye hai kay
who maal wala aur beton wala hai.
68.15 Jab uss kay samnay humari aayaten parhi
jaati hain to keh deta hai kay yeh to aglon kay qissay hain.
68.16 Hum bhi us ski soond (naak) per daagh
dengay.
68.17 Be-shak hum ney unhen issi tarah aazmaliya
jiss tarah hum ney baagh walon ko aazmaya tha job unho ney
qasman khayen kay subha hotay hi iss baagh kay phal utar lengay.
68.18 Aur inshaAllah na kaha.
68.19 Pus iss per teray rab ki janib say
aik bala chaaron taraf ghoom gaee aur yeh so hi rahey thay.
68.20 Pus who baagh aisa hogaya jesay kati
hui kheti.
68.21 Abb subha hotay hi unho ney aik doosray
ko aawazen dea.
68.22 Kay agar tumhen phal utarnay hain to
apni kheti per saweray hi saweray chal paro.
68.23 phir yeh sab chupkay chupkay yeh baten
kertay huye chalay.
68.24 Kay aaj kay din koi miskeen tumharay
pass na aanay paye.
68.25 Aur lapkay huye subha subha gaye (Samajh
rahey thay) kay hum qaaboo paagaye. |
| |
|
| |
|
| |