 |
|
| World's
First Roman Urdu Translation Quran Shareef |
| Surat-Maarijj
70 |
| (Sura-Maarijj Makka
mai Nazil hui, is mai chawalees (44) Aayatain hain) |
| |
70.01
Aik sawal kernay walay ney uss azab ka swal kiya
jo wazeh honay wala hay. 70.02
Kafiron per jissay koi hatanay wala nahi.
70.03 Uss Allah ki taraf
say jo seerhiyon wala hay. 70.04
Jiss ki taraf farishtay aur rooh charhtay hein aik
din mein jiss ki miqdaar pachas hazar saal ki hay.
70.05 Pus to achi tarah
sabar ker. 70.06 Beshak
yeh uss (azab) ko door samajh rahe hein.
70.07 Hum issay qareeb hi dekhatay
hein. 70.08 Jiss din
aasman misil tel ki talchat kay hojayega.
70.09 Aur pohaar misil rangeen
oon kay hojey gay. 70.10
Aur koi dost kissi dost ko na poochay ga.
70.11 (Halankay) aik doosray
ko dikha diye jaeyen gay gunehgar uss din kay azab
kay badlay fidye mein apney beton ko.
70.12 Apni biwi ko aur apney bhai
ko. 70.13 Aur apney
kunbay ko jo issay panah deta tha.
70.14 Aur roy e zameen kay sab
logon ko dena chahyega takay yeh ussay nijat dilaye.
70.15 Mager hergiz yeh na
hoga yaqeenan wo shoal wali (aag) hai.
70.16 Jo mun aur sar ki khal khench
lynay wali hay. 70.17
Wo her us shaks ko pukaray gi jo pechay hata aur
mun morta hay. 70.18
Aur jama ker kay samnbhal rakhta hay.
70.19 Beshak insan baray kachy
dil wala banaya gaya hay. 70.20
Jab is say musibat puhanchti hay to har bara uthta
hay. 70.21 aur jab
rahat milti hay to bukhul kernay lagta hay.
70.22 Mager wo namazi.
70.23 J apnai namaz per
hameshagi kernay walay hein. 70.24
Aur jin kay maalon mein mukarra hisa hay.
70.25 Mangnay walon ka bhi
aur sawal say bachnay walon ka bhi. |
| |