Home Tuitions Academy Entertainments Women Corner Kids Zone Guess Papers Educational Games Beauty Tips Roman Urdu Quran Contact Us
Guess Papers 2010new
Roman Urdu Qurannew
Download HolyQurannew
Free Quran Audionew
Educational Gamesnew
Be a 7rangi Model
Feature Ads
Ramadan Kareem
14 August Pakistan Independence Day
seo-karachi-faisal-iqbal
Roman-Urdu-Quran-Shareef
7rangi-a1

Quran Shareef

7rangi-a3
 
7rangi-Roman-Quran-Shareef
World's First Roman Urdu Translation Quran Shareef
 
Surat-Jinn 72
(Sura-Jinn Makka mai Nazil hui, is mai atthais (28) Aayatain hain)
 
72.01 (Aey Muhammad (S.A.W) Aap keh dein kay mujhy wahi ki gai hay kay jinno ki ik jamat ne (Quran) suna or kaha kay hum ney ajeeb Quarn suna hai.

72.02 Jo rah e rast ki tarf rahnumai kerta hai hum is per iman la chukay (ab)hum her giz kisi ko bhi apney rab ka sharek na banein gay.

72.03 Aur beshak hamary Rab ki shan bari buland hai aur na us ney kisi ko (apni) biwi banaya hay aur na beta.

72.04 Aur yeh kay kehtay rahein hein hamary nadan logAllah kay bary mein bhat khilaf e haq batein.

72.05 Aur hum to yehi samjhtay rahy kay namumkin hai kay insan aur jinnat Allah per jhoti batein lagaein.

72.06 Baat yeh hay kay chand insan baaz jinnat say panah talab kertay thy jis say jinnat apnai serkashi mein aur barh gay.

72.07 Aur (insano) ney bhi tum jino ki tarah guman ker liya tha kay Allah kisi ko na bhyjay ga (ye kisi ko dobara zinda an kery ga).

72.08 Aur hum ney asman ko tatool ker dekha to usay sakht chokidaron aur sakht sholon say pur paya

72.09 Is say pehlay hum baatein suneinkay liye asman mein jagah jagah beth jaya kertay thy .jo bhi kan lagata hay wo ik sholay ko apni taak mein pata hai.

72.10 Hum nahi jantay kay zameen walon kay sath kisi burai ka irada kiya gaya hay ya in kay rab ka irada in kay sath bhalai ka hai.

72.11 Aur yeh kay (beshak) baaz to hum mein nekokar hein aur baaz iskay barakas bhi hein hum mukhtalif tareeqon say batay hoy hein.

72.12 Aur hum ney samajh liya hay kay hum Allah Talah ko zameen mein hergiz aajiz nahi ker saktay aur na hum bhag ker issy hara saktay hein.

72.13 Hum to hidayat ki bat suntay hi is per eman la chukay aur jo bhi apney rab per eman laye ga us say na kisi nuksan ka andesha hay na zulm-o-sitam ka.

72.14 Han hum mein baaz to musalman hein baaz be-insaf hein pus jo farmaberdar hogay unhon ney to raah-e-raast ka qasad kiya.

72.15 Aur jo zalim hein wo jahanum ka endhen bangay.

72.16 Aur (aey Nabi yeh bhi khay do) kay log raaah e rast per seedhay rehtay to yaqeenan hum enhein both waffir pani pilatay.

72.17 Takay hum is munhein azmalein aur jo sahks apney perwedigar kay zikar say mun pherlay ga to Allah Talah ussay sakht azab mein mubtila kerdayga.

72.18 Aur yeh kay mesjidein sirf Allah hi kay liye khas hein pus Allah Talah kay sath kissi aur ko na pukaro.

72.19 Aur jab Allah ka banda uss ki ibadat kay liye khara hoa to qareeb tha kay wo bheer ki bheer ban ker uss per pal paren.

72.20 Aap keh dijey kay mein to sirf apney rab hi ko pukarta hon aur is kay sath kissi ko shareek nahi banata.

72.21 Keh dijey kay mujhy tumhary kisi nuksan nafa ka ikhtiyar nahi.

72.22 Kehdijey kay mujhy hergiz koi Allah say bacha nahi sakta aur mein hergiz uss kay siwa koi jay e panah bhi paa nahi sakta.

72.23 Albata (mera kam) Allah ki baat aur iss kay peghamaat (logon ko) phuncha dena hia (ab) jo bhi Allah aur uss kay rasool kin a maanay ga uss kay liye jahanum ki aag hai jiss mein aisay log hamesha rahengay.

72.24 (unki aankh na khulaygi) Yahan tak kay ussay dekhlen jis ka unko wada diya jata hia pus unqareeb jaan lengay kay kis ki jamat kum hai.

72.25 Kehdijey kay mujhy maloom nahi kay jiss ka wada tum say kiya jata hai wo qareeb hia ya mera rab us kay liye door ki muddat mukarrer keryga.

72.26 Wo ghaib ka jannay wala hai aur apney gheb per kisi ko mutlaa nahi kerta.

72.27 Siwaey us peyghamber kay jissay wo pasand kerley lekin usskay bhi aagay pechay pehraydar muqarrer kerdyta hai.

72.28 Takay unkay apney rab kay paygham phoncha denay ka ilm hojaey.Allah talah ney unkay aas pass (ki tamam cheezon) ka ehaata ker rakha hai aur her cheez ki gintee ka shumaar ker rakha hai.
 
Search Quraan
Next Page
 
01-Fateha 31-Luqman 61-Saff 91-Shams 01-Alif laam meem
02-Baqara 32-Sajdah 62-Jumaa 92-Lail 02-Sayaqool
03-Imran 33-Ahzaab 63-Munfiqoon 93-Zoha 03-Tilkar rusul
04-Nissa 34-Saba 64-Taghabunn 94-Alam-Nasharah 04-Lann tanaloo
05-Maeeda 35-Faatir 65-Tallaq 95-Teen 05-Wal mohsinaat
06-Aanam 36-Yaseen 66-Tehreem 96-Alaq 06-La yohibbullaho
07-Aeyraaf 37-Saafaat 67-Mulk 97-Qadar 07-Wa iza samay-oo
08-Anfaal 38-Suaad 68-Qalam 98-Bayyina 08-Walao annana
09-Tauba 39-Zumur 69-Haaqqaa 99-Zilzaal 09-Qaalal malao
10-Younus 40-Momin 70-Maarijj 100-Aadiyaat 10-Waalamoo
11-Hood 41-Ha-Meem-Assajdah 71-Nooh 101-Qariya 11-Yaataziroon
12-Yousuf 42-Shooraa 72-Jinn 102-Takasur 12-Wama min daabbatin
13-Raad 43-Zukhruf 73-Muzammil 103-Asar 13-Wama ubarriyo
14-Ibrahim 44-Dukhaan 74-Mudassir 104-Humaza 14-Rubama
15-Hijir 45-Jasiya 75-Qiyama 105-Feel 15-Subhanal lazi
16-Nahal 46-Ehkaaf 76-Dahar 106-Quraish 16-Qaala alam
17-Bani Israeel 47-Muhammad 77-Mursilaat 107-Maoon 17-Iqtaraba
18-Kaahaf 48-Fatah 78-Naba 108-Kausar 18-Qad aflahaa
19-Marium 49-Hujraat 79-Naziaat 109-Kafiroon 19-Wa qaalal iazina
20-Tahaa 50-Qaaf 80-Abas 110-Nasar 20-Ammann khalaq
21-Anbiya 51-Zaariyaat 81-Takveer 111-Tabbatt 21-Utloo ma oohiyaa
22-Hajj 52-Toor 82-Infitaar 112-Ikhlaas 22-Wamaee yunqanatt
23-Mominoon 53-Najam 83-Mutafifeen 113-Falaq 23-Wamaali
24-Noor 54-Qamar 84-Inshiqaaq 114-Naas 24-Faman azlamo
25-Furqaan 55-Rehman 85-Burooj Tasdeeq 25-Ilaeyhi yuriddo
26-Shooaraa 56-Waqiya 86-Tariq   26-Haa meem
27-Namal 57-Hadeed 87-Aala   27-Qaala fama khatbokum
28-Qasass 58-Mujadala 88-Ghashiya   28-Qad samiullaho
29-Ankaboot 59-Hashar 89-Fajar   29-Tabarakal lazi
30-Room 60-Mumtahina 90-Balad   30-Amma
 
 
7rangi-a3   7rangi-a4
Health and Fitness
Weight Gaining Tips
Weight Gain Guide
Fat Loss Tips
Weight Loose Guide
Weight Loss Articles
Body Fitness
Women Fitness
Health and Pregnancy
Pregnancy Care
New Born Baby Care
Health and Fitness
New Mother Care
Body Fitness Care
Stamina Growth
Brest cancer
Body Exercises
Health Care Tips
Muscles Growth
Men Power Increment
Height increment
Safe and Healthy
Kids Education
Featured Ads

Home | About 7rangi | Contact Us | Religions Talks | Entertainments | Women Corner | Huriyat News Urdu | Kids Disney Zone | Professionals Place | 7rangi Models | Downloads
Anmol Sunnatain | Mojzat-e-Nabi (SAW) | Islamic Articles | Writing Dissertation | Khulfa-e-Rashideen | Qasasul Anbia (AS) | Videos | Jokes | Pakistan Urdu News | Custom Essay | Amazing Stories
Academic Writing UK | Hurriyat News | Mobile Fun | Poetries | Womens Tricks and Tips | Latest News in Urdu | Womens Kitchen | Beauty Parlor | Mothers House | Paintings | Online Games
Essay Writing UK | Urdu News Pakistan | Academic Essay Writing | Questions and Answers | Jobs Opportunities | Free Classifieds Ads | Free Directory Listing | Roman Urdu Quraan Shareef
Hurriyat News | Essay Writing UK | Live Pakistan Urdu TV | Nursing Assignments UK | Order Essay | Academic Writing UK | Buy Essays | Essay Writing | Dissertation Writing
Free Download Noble Quran (Coran/Koran) | Huriyat TV | Free Download Audio Quran (Curan/Kuran) | Islamic Hadees
Site Map | Submit Your Comments And Feedback
Copyright © 2008 7rangi.com All right reserved.