 |
|
| World's
First Roman Urdu Translation Quran Shareef |
| Surat-Qiyama
75 |
| (Sura-Qiyama Makka
mai Nazil hui, is mai chalees (40) Aayatain hain) |
| |
75.01
Mein qasam khata hun qayamat kay din ki.
75.02 Aur qasam khata hun uss nafas
ki jo malamat kernay wala ho. 75.03
Kiya insan yeh khayal kert hai kay hum
uss ki hadiyan jama kerengay hi nahi.
75.04 Han zaror kerengay hum to
qadir hain kay usski por por tak durust kerdein.
75.05 Bulkay insan to chahta
hai kay aagay aagay na farmaniyan kerta jaey.
75.06 Poochata hai kay qayamat
ka din kab aaye ga. 75.07
Pus jis waqat kay nigha pathra jaeygi.
75.08 Aur chand benoor hojaey ga.
75.09 Aur soraj aur chand
jama kerdiye jaeingay. 75.10
Us din insan kahega kay aaj bhegnay ki jagah kahan
hai? 75.11 Nahi nahi
koi panahgah nahi. 75.12
Aaj to teray perwardigar ki tarf hi qarar gah hai.
75.13 Aaj insan ko us kay
aagay bhejay huye aur pichay choray hoye say aagah
kiya jaeyga. 75.14
Bulkay insan khud apney upper aap hujjat hai.
75.15 Agercha kitnay hi
bahanay pesh keryga. 75.16
(ay nabi) Aap Quran ko jadi (yaad kernay) kay liey
apni zabaan ko herkat na den. 75.17
Is ka jama kerna aur (aap ki zaban say) perhna humaray
zimmay hai. 75.18
Hum jab isay parhlen to aap is kay parhnay ki perwi
kerein. 75.19 Phir
is ka wazeh ker dyna hamary zimy hai.
75.20 Nahi nahi tum jaldi milnay
wali (duniya) ki mohabat rakhtay ho.
75.21 Aur akhrat ko chor bethy
ho. 75.22 Us roz bohat
say chehery ter o taza aur ba runaq hongay.
75.23 Apney rab ki taraf
dekhtay hongay. 75.24
Aur kitnay chehry us din (bad ronaq aur) udas hongay.
75.25 Samjhtay hongay kay
in kay sath kamar tor dene wala mamla ki jaey ga. |
| |