 |
|
| World's
First Roman Urdu Translation Quran Shareef |
| Surat-Dahar
76 |
| (Sura-Dahar Madina
mai Nazil hui, is mai ikattees (31) Aayatain hain) |
| |
76.01 Yaqeenan
guzra hai insan per ik waqat zamanay mein jab kay
yeh koi qabe e zikar chez na tha. 76.02
Besahak hum ney insan ko milay julay nutfay say
imtehan kay liye paida kiya aur uss ko sunta dekhta
banaya. 76.03 Hum
ney ussay raah dikhai abb khua wo shukar guzar banay
khua na shukra. 76.04
Yaqeenaa hum ney kafiron kay liye zanjeeron aur
toq aur sholon wali aag tayar ker rakhi hai.
76.05 Besahk neek log wo
jam piyein gay jiss ki azmaish kafiron ki hai.
76.06 Jo aik chesma hai
jiss say Allah kay banday piyen gay uss ki nehrein
nikaal ley jaengay (jidher chahen).
76.07 Jo nazar poori kertay hein
aur uss din say dartay hein jiss ki buraee charon
taraf phel jaanay wali hai. 76.08
Aur Allah Taalah ki mohabat mein khana khilatay
hein miskeen yateem aur qediyon ko.
76.09 Hum to tumhein sirf Allah
Taalah ki raza mandi kay liye khilatay hein na tum
say badla chatay hein na shuker guzari.
76.10 Beshak hum apney perwardigar
say uss din ka khof kertay hein jo udaasi aur sakhti
wala hoga. 76.11 Pus
inhen Allah Taala ney uss din ki buraee say bacha
liya aur inhen taazgi aur khushi phonchai.
76.12 Aut inhen inkay sabar
kay badlay jannat aur reshmi libass ata farmaye.
76.13 Yeh wahan takhton
per takiey lagaey huye bethen gay na wahan aftab
ki garmi dfekhein gay ja jaray ki sakhti.
76.14 In jannaton kay saaye
un per jhukey huye hongay aur inkay (meway aur)
gunchay neechay latkaaey huye hongay.
76.15 Aur in per chandi kay bartano
aur in jaamon ka dor keraya jayega jo sheeshay kay
hongay. 76.16 Sheeshy
bhi chandi kay jinko (saqi ney) andazay say nap
rakha hoga. 76.17
Aur inhein wahan wo jam pilaya jaey ga jin ki amezish
zanjabeel ki hogi. 76.18
Jaanat ki ik nehar say jiss ka nam salsabeel hai.
76.19 Aur inkay ird gird
ghoomtey phirtay hongay wo kumsin bachay jo hamesha
rehnay walay hein jab tu unhein dekhay to samjhay
key wo bikhray hoey sachay moti hein.
76.20 Tu wahan jahan kahin bhi
nazar daley ga saraser nematein aur azeem-ul-shan
saltanat hi dekhay ga. 76.21
In kay jismoon per sabz bareek aur motay reshmi
kapray hongay aur enhen chandi kay kangan ka zewar
pehnaya jaeyga aur inhein unka rab pak saaf sharab
pilaey ga. 76.22 (kaha
jaeyga) kay yeh hai teray aemal ka badla aur tumhari
koshish kiqadar ki gai. 76.23
Be-shak hum ney tujh per ba tedreej quran nazil
kiya hai. 76.24 Pus
to apney rab kay hokum per qaim rah aur in mein
say kissi gunhagar ya na shukray ka kaha na maan.
76.25 Aur apney rab kay
naam ka subha o sham zikar kiya ker.
76.26 Aur raat kay waqat uss kay
saamnay sajday ker aur bohat raat tak uss ki tasbeeh
kiya ker. 76.27 Behak
yeh log jaldi milnay wali(duniya) ko chahtay hein
aur apney peechay aik baray bhari din ko choray
detay hein. 76.28
Hum ney inhein peda kiya aur hum ney hi in key jor
aur bandhan mazboot kiey aur hum jab chahen in kay
ewaz in jesay auron ko badal layen.
76.29 Yaqeenan yeh to aik naseehat
hai pus jo chahey apney rab ki raah lelay.
76.30 Aur tum na chahogay
magar yeh kay Allah Taalah hi chahey beshak Allah
Talah ilm wala ba hikmat hai. 76.31
Jisay chahey apni rehmat mein daakhil kerley aur
zaalimon kay liye uss ney dard naak azab tayyar
ker rakha hai. |
| |