 |
|
| World's
First Roman Urdu Translation Quran Shareef |
| Surat-Abas
80 |
| (Sura-Abas Makka
mai Nazil hui, is mai bayalees (42) Aayatain hain) |
| |
80.01
Wo turush ro howa aur mon mor lia.
80.02 (sirf isliey) Kay uskay pass
ik nabina aya. 80.03
Tujhy kia khabar shayad wo sanwar jata.
80.04 Ya nasehat sunta or usay
nesehat fiada phunchati. 80.05
Jo be parwai kerta hai. 80.06
Uski taraf to pori tawajja kerta hai.
80.07 Halankay us kay na sanwarney
say tujh per koi ilzam nahi. 80.08
Aur jo shaks tere pas dorta hua ata hai.
80.09 Aur wo dar (bhi) raha hai.
80.10 To us say berukhi
bartta hai. 80.11
Yeh theek nahi Quran toh nasehat (ki cheez) hai.
80.12 Jo chahay us say nasihat
le. 80.13 (ye to)
Purazmat sahifon mein se hai. 80.14
Jo buland-o-bala or pak saf hein. 80.15
Isay likhnay walon kay haton mein hai.
80.16 Jo buzurgh or pakbaz hein.
80.17 Allah ki mar insan
per kaisa nashukra hai. 80.18
Usay Allah nay kis cheez say paida kiya.
80.19 Usay ik nutfay say paida
kia, phir iski taqdeer (masalay nafas) muqarar ki.
80.20 Phir us kay liey rasta
asaan kiya. 80.21
Phir usay moat di aur phir qabar mein dafan kiya.
80.22 Phir jab chahe ga
zinda ker dega. 80.23
Hergiz nahi usnay ab tak Allah kay hukum ki baja
aawri nahi ki. 80.24
Insan ko chahiye kay apnay khanay ko dekhe.
80.25 Kay hum nay khoob
pani barsaya. |
| |