 |
|
| World's
First Roman Urdu Translation Quran Shareef |
| Surat-Aala
87 |
| (Sura-Aala Makka
mai Nazil hui, is mai unnees (19) Aayatain hain) |
| |
87.01
Apney buhat hi buland Allah kay naam ki pakizgi
biyan ker. 87.02 Jisnay
paida kiya aur sahi salim banaya. 87.03
Aur jisnay (thek thak) andaza kiya aur phir raah
dekhai. 87.04 Aur
jis nay taza ghass paida ki. 87.05
Phir ussney is ko (sukha ker) siyah kora ker diya.
87.06 Hum tujhy parhaein
gay phir to na bhooly ga. 87.07
Magar jo kuch Allah chahey wo zahir aur poshida
ko janta hay. 87.08
Hum apky liey asani paida kerdein gay.
87.09 To ap nasehat kerty rahein
ager nasehat kuch faida day. 87.10
Derney wala to nasehat lega. 87.11
(han) Badbakht is say gurez karey ga.
87.12 Jo bari aag mein jaey ga.
87.13 Jahan phir won a mary
ga jnajeiy ga (balky halat e nazah mein para rahy
ga). 87.14 Be-shak
usney falah pali jo pak hogaya. 87.15
Aur jis nay apney Rab ka naam yad rakha aur namaz
parhta raha. 87.16
Lakin tum to duniya ki zindagi ko tarjeeh detay
ho. 87.17 Aur akhrat
buhat bhyter aur baqa wali hay. 87.18
Yeh batein phyli kitabon mein bhi hein.
87.19 (yani) Ibrahem aur Moosa
ki kitabon mein. |
| |