 |
|
| World's
First Roman Urdu Translation Quran Shareef |
| Surat-Lail
92 |
| (Sura-Lail Makka
mai Nazil hui, is mai ikkees (21) Aayatain hain) |
| |
92.01
Qasam hai raat ki jab cha jaey. 92.02
Aur qasam hai din ki jab roshan ho.
92.03 Aur qasam hai uss zaat ki
jiss nay nar-o-mada ko peda kiya. 92.04
Yaqeenan tumhari koshish mukhtalif qisim ki hai.
92.05 Jiss nay diya (Allah
ki rah mein)aur dara (apnay rab say).
92.06 Aur nek baat ki tasdeq kerta
rahega. 92.07 To hum
bhi usko aasan rasty ki saholat dein gay.
92.08 Lekin jiss nay bakheel
ki aur beparwai barti. 92.09
Aur nek baat ki takzeeb ki. 92.10
To hum bhi uski tangi-o-mushkil kay saman mayuser
kerdein gay. 92.11
Uska maal ussy (ondha) giraney kay waqat kuch kam
na ay ga. 92.12 Be-shak
raah dikha dena himaray zimmay hai.
92.13 Aur humary hi hath akhrat
aurduniya hai. 92.14
Mein nay to tumhein sholay marti hui aag say dara
diya hai. 92.15 Jis
mein sirf wo hi badbakht dakhil hoga.
92.16 Jis nay jhutlaya aur (uski
perwi say) mun pher liya. 92.17
Aur is say assa shaks dor rakha jaey ga jo bara
perhezgar hoga. 92.18
Jo paki hasil kernay kay liey apna maal deta hai.
92.19 Kissi ka uss per koi
ehsan nahi kay jiss ka badla diya jaraha ho.
92.20 bulkay sirf apnay
perwardigar buzruk-o-buland ki raza chahnay kay
liey. 92.21 Yaqeenan
wo (Allah bhi) un qareeb raza mand hojaeyga. |
| |